[23/10 11:27 PM] Siraj Bhai Salfi: Assalamualaikum, welcome to the - TopicsExpress



          

[23/10 11:27 PM] Siraj Bhai Salfi: Assalamualaikum, welcome to the group exclusively for question and answers on Islamic matters but not for general sharing, images or clips. However, voice notes are allowed for questions to be answered by our Fazilath Shaykh. We have alhamdulillah Dr. Razak Syed and Dr. Samiullah and few others who are doing their best to run this group. Please dont violate the rules.. Please introduce yourself with profession and place of living... # Siraj, group Admin [23/10 11:49 PM] +91 93 73 101933: Kuch aayate hain jisme baaawaaz buland dua maangna saabit hai, Allâh SWT ka IRSHAD ha i:- AUR hamen NOOH (AS) ne buland aawaaz pukaara aur hamne uski dua ko sharf qubuliyat bakhsha (SURAH SAFFAAT 75) EK aur maqaam par FARMAYA:- aur NOOH ( AS) (ko yaad karo ) jab usne buland aawaaz se pukaara toh hamne uski pukaar ko qubool kiya (SURAH AMBIYA 76) HZ AYYUB (AS) ke mutaallik FARMAYA:- AUR AYYUB (AS) ke usne buland aawaaz se dua ki (AIY ALLAH) mujhe takleef pahunchi hai aur tu bahut raham karne waala hai (SURAH AMBIYA 83) HAM ne uski dua qubool kar li aur uski taqleef door kar di (SURAH AMBIYA 84) ISI tarah HZ YUNUS (AS) ke mutaallik farmaya:- fanada fi la illaha illa anta subhanaka inni kuntu minaz zaalimeen (SURAH AMBIYA 87) YE aur is qism ki bahut si aayat hain, is sab me dua ko aawaaz se ada karne ka zikr kiya hai aur nida ko arabic me buland aawaaz ko kahte hain, chunanche IMAM RAAGHIB farmte hain:- ke NIDA ke maane aawaaz ka buland karna aur uska zaahir karna hai ( MUFARDAAT IMAM RAAGHIB page 505) AUR LUGHAT ARAB ke IMAM IBN MANZOOR AFREEKI MISRI farmate hain:- ke NIDA ke maane buland aawaaz se pukaarne ke hain aur falan andi sautan min falaan ka maana hai ke falan ki aawaaz falan se buland hai (LISANUL ARAB jild 2 page 187) AUR SAHAB MAJMUA BAHAAR ul ANWAAR likhte hain:- (indi sauta ai arfa waala) ke andi sauta ka matlab buland aur unchi aawaaz waala hai (MAJMUA BAHAAR ul ANWAAR jild 3 page 345) aur khud QURAAN HAKEEM me iski beshumaar misaalein maujood hain ke NIDA buland aawaaz ko kahte hain Chunanche SURAH HOOD me HZ NOOH AS aur unke bete ka mukaalmah hai aur iski ibteda is lafz se hui hai ke wanaadi nooh abnah yani aur NOOH AS ne apne bete ko pukaara aur wah kinaane pe tha ke AIY mere bete hamare saath sawaare ho jaao aur kaafiron ka saath na do, ISI tarah SURAH AARAAF me ashaab ul jannah , ashaab ul aaraaf aur ashaab ul naar ki aapas ki baat cheet ko bhi balafz nida hi zikr kiya hai ke jannation ne dozakhiyon ko kaha aur AARAAF(44) waalon ne dozakhiyon ko pukaara aur dozakhiyon ne jannation se sawaal kiya AAMEEN buland aawaaz se kahna na sirf ye ke khud HZ MUHAMMAD sallalaho alaihi wasallam (PBUH) se saabit hai balke aapne apne sahaba kiram ko unchi aawaaz se kahne ka huqm diya hai, HZ WAIL BIN HAJAR RA riwayat karte hain ki maine suna AAP(SWS) ne padha, gairil maghzoobi alaihim walazzalleen phir AAPNE buland awaz se AAMEEN kahi.. ( TIRMIZI 248, ABU DAWOOD 932, TIRMIZI ne hasan jabki IBNE HAJAR aur IMAM DARE KUTNI ne SAHIH kaha hai) HZ ABU HURAIRAH RA kahte hain ki jab NABI SAW gairil maghzoobi alaihim walazzalleen padhte to aap kahte AAMEEN (itni unchi awaz se) ki pahli saf me aapke aas paas ke log sun lete ( BAIHAQI 2/58, IBNE IBNE KHUZAIMA 571, IBNE HIBBAN 462, ISE IMAM HAKIM aur IMAM ZAHBI ne sahih kaha hai) HZ ABU HURAIRAH RA farmate hain AAP(SAW) ne farmaya:- jab IMAM AAMEEN kahe to tum bhi AAMEEN kaho, jis shakhs ki AAMEEN farishton ki AAMEEN ke barabar ho gayi to uske pahle sab gunaah maaf kar diye jaate hain (BUKHARI 780, MUSLIM 410) IMAM IBNE KHUZAIMA is hadith ki tashrih me farmate hain:- IS hadith se saabit huwa ki IMAM unchi aawaz se AAMEEN kahe kyonki NABI(SAW) muqtadi ko IMAM ki AAMEEN ke saath AAMEEN kahne ka huqm isi soorat me de sakte hain jab muqtadi ko malum ho ki IMAM AAMEEN kah raha hai, koi ALIM yah soch nahi rakh sakta ki AAP(SAW) muqtadi ko IMAM ki AAMEEN ke saath AAMEEN kahne ka huqm den jabki wah apne IMAM ki AAMEEN ko sun na sake (SAHIH IBNE KHUZAIMA, 1/286) NAEM MUNZIR RA farmate hain ki HZ ABU HURAIRAH RA ne hamen AAP(SAW) ke tareeqe ke mutabik namaz padhai phir NAEM RA us tareeqe ko bayan Karte hue kahte hai ki unhone AAMEEN kahi aur jo log aapke IMAMAT me namaz ada kar rahe they unhone bhi AAMEEN kahi (NISAI 2/134, IBNE KHUZAIMA 1/251, ISE HAAKIM, ZAHBI aur BAIHAQI ne SAHIH kaha hai) HZ ABDULLAH BIN ZUBAIR RA aur unke muqtadi itni buland aawaz se AAMEEN kaha karte they ki masjid goonj uthti thi (BUKHARI 2/262, ABDURRAZZAQ 2/96, IMAM BUKHARI RH ne ise IMAM HAZAM ke qalimeh ke saath zikr kiya hai, jo iske SAHIH hone ki daleel hai) HZ IKRAMA RH farmate hain:- maine dekha ki IMAM jab walazzalleen kahta to logon ke AAMEEN kahne ki wajah se masjid goonj uthati thi (IBNE ABI SHAIBA 2/187) HZ ATAA bin ABI RIBAH RH farmate hain:- maine 200 sahaba kiram ko dekha ki baitullah me jab IMAM walazzalleen kahta to sab buland awaz se AAMEEN kahte (BAIHAQI 2/59, KITABUSSALAT, ibne HIBBAN, iski sanad IMAM ibne HIBBAN ki shart par sahih hai) AAP(SAW) ne farmaya:- jitne yahudi, SALAAM aur AAMEEN se chidte hain utna kisi aur cheez se nahi chidte, to tum zyadati se AAMEEN kaha karo (IBNE MAJAH 856, ise IMAM IBNE KHUZAIMA aur IMAM BUSEERI ne sahih kaha hai) HAFIZ IBNE BARR RH ne zikr kiya ki IMAM AHMAD BIN HAMBAL RH us shakhs par shakht naraaz hote jo buland aawaz se AAMEEN kahne ko makhrooh samjhta, kyonki YAHUDI AMEEN se chidte hain DUA, TA-AWWUZ(AUZUBILLAH), TASMIYA(BISMILLAH) aur SURAH FATIHA padhkar AAMEEN kahne ke baad quran majeed me se jo kuch yaad ho usme se kuch padhe (BUKHARI 793)
Posted on: Fri, 24 Oct 2014 09:58:34 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015