~¤ Aala-Hazrat ( ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه ) kaun the - TopicsExpress



          

~¤ Aala-Hazrat ( ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه ) kaun the ? ¤~ Aala-Harzat ki Yaum-e-wiladat Mubarak ho.... » Mere Aaqa Ala-Hazrat,Mujadid-e-deen-o-Mllat,Kata-e-Biddat,Peshwa-e-Ahle-Sunnat, Shah Ahmed Raza Khan ( ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه ) ki Wiladat 10 Shawwal 1272 Hijri (1856) Ko Bareli Sharif Uttar Pradesh,India Me Hui. ~¤ Aapke baare me kuch tafsil se jaante hai ¤~ » 4 Saal Ki Umar Me Quran-E-Paak Nazra Poora Kiya Aapne, Aapne Walid Mufti Naqi Ali Khan ( ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه ) Se Talim Hasil Ki. » 6 Saal Ki Umar Me Aap Meelad-E-Rasool ( ﺻﻠﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ وسلم ) Ke Unwan Par Shandar Taqrir Farmayi. » 8 Saal Ki Umar Me Arbi Zaban Me Aapne 1 Kitab Likh Kar Sab Ko Hairan Kar Diya. » 13 Sal 10 Mah Ki Umar Me Aapne Pehla Fatwa Likha. » 55 se Ziyada Uloom (Subject) mein aapko Ilm hasil tha aur in Par Taqriban 1000 Kitabe Aapne Likhi. » Quraan-e-Paak Ka Urdu Zaban Me Bahetrin Tarjuma "KANZUL EMAAN" Aapne Qaum Ko Aata Kiya. » 12 Jildon Par Mushtamil "Fatwa Razviya" Likh Kar Aapne Fiqh~E~Hanfi Ki Zabardast Khidmat Anjam Di. Sari Zindagi Deen Ki Khidmat Aur Ishq-E-Mustafa ( ﺻﻠﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ وسلم ) Ki Daulat Taqsim Karne Me Aap Lage Rahe. » Duniya Ke Bade Bade Ulma Aur Fuqha Ne Aap Ko Mujaddid Tasleem Kiya. » Aapne bahut saare Naat aur Salaam likhe aur in Natiya Kalam Ki Sari Duniya Me Dhoom Hai. » Bahut si University Me Aap Par Research Ho Rahi Hai. (yaani aapne jo kaam kiya yeh kissi mamuli aadmi ki bas ki baat nahi hai. Eg:-Aapne jo Fatawa-e-Razaviya likhi woh 12 jildon(parts) par mustamil hai aam Insaan toh inko padhkar yaad rakhle toh badi baat hai aapne toh yeh Allah ke karam se khud likhin hai aur iske alawa 1000 takriban Kitabein likhin.) » Aap Ka Wisal 25 Safar (1921) Ko Azaane Jumma Ke Dauran Huwa إِنَّا لِلّهِ وَإِنَّـا إِلَيْهِ رَاجِعونَ (Ref : Hayat-e-Mubarak Aa’la Hazrat Ulma-E-Ahle Sunnat Mujaddi-E-Dino Millat Imam Ahmad Raza Khan ki Hayat-E-Mubarak Page No:13) » Aala Hazrat Ne Quran-e-Paak: Ka Tarzuma 1911 Me “Kanzul Emaan” Naam se Kiya, Aapne Maulana Amzad Ali Azmi ( ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه ) ki Gujarish Par Yeh Tarzuma Kiya Tha. » Aala Hazrat Ka Likha Huwa Pyara “SALAM” “MUSTAFA JAANE REHMAT PE LAKHO SALAM” Woh “SALAM” Hai Jo Duniya Me “AAZAN” Ke Baad Sabse ziyada Padha Jaata Hai. » Farman-e-Sayyedi Aala Hazrat ( ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه ) Sachhe Imaan Ke Liye 2 Baat Jaroori Hai-: 1)-Nabi-E-Kareem ( ﺻﻠﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ وسلم ) Ki Muhabbat 2)-Nabi-E-Kareem ( ﺻﻠﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ وسلم ) Ki Ta’zim » 6 Saal Ki Chhoti Si Umr Me Sayyedi Sarkar Aala Hazrat Imaam Ahmed Raza Khan ( ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه) Ne Maloom Kar Liya Tha Ki Bagdad Shareef Kidhar Hai, Jab Se Unhe Pata Chala Aap Ne Aakhiri Dam Tak Uss Taraf Kabhi Bhi Apne Pair Nahi Kiye. -: (Sawaneh Aala Hazrat- Page No-34 ) » Sayyedi Sarkar Aala Hazrat Imaam Ahmed Raza Khan Faziley Bareilvi ( ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه ) Hizri 1292 (1877) Me Apne Murshid-e-Barhaq, Maulana Sayyed Aale Rasool Ahmedi ( ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه ) Se Silsila Aaliya, Qadriya, Barkatia Me Baiayat Huye. -: (Sawaneh Aala Hazrat, Page No-36) » Aala Hazrat ( ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه ) Ne 4 Saal Ki Umr Me Quran Shareef Naazra Poora Kiya, 6 Saal Ki Umr Me 12 Rabi-Ul-Awwal Ki Taqreeb Me Mibar Par Bahut Mazme Ke Saamne Meelad Shareef Parha. Mirza Ghulam Qadir Baig ( ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه ) Se Meezan Aur Munshab Ki Taleem Hasil Ki. Apne Waalid-E-Maajid Taj-Ul-Ulema Shaah Molana Naki Ali Khan ( ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه ) Se Bhi Padhayi Ki Aur 13 Saal 10 Maah 5 Din Ki Umr Me 14 Shaban 1286 Hizri (19 November 1869) Ko Dastaar E Fazilat Se Nawaze Gaye. -: (Sawaneh Aala Hazrat Page No-30-31) "Tune baatil ko mitaya Aye Imaam Ahmed Raza, Deen ka danka baja Aye Imaam Ahmed Raza" "Dal di qalb me aazmate Mustafa ( ﺻﻠﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ وسلم ) Sayyadi Aala Hazrat par laako salaam" "Main woh Sunni hun jameel-e-Qadri marne ke baad, Mera lasha bhi kahega As-salato-wassalaam" "Allah ki inpar rehmat ho aur inke sadqe humari Magfirat ho" "Main hun Sunni rahun Sunni marun Sunni Madine Mein" Maskal-e-Aala Hazrat Zindabaad ! Khoob-Khoob Isaal-e-Sawaab karein aur dusron ko bhi targib dilayein....... ﺟﺰﺍﻙ الله خيرا for reading ~●~●~●~● ~ ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّﺪ (ﺻﻠﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ وسلم) ~ ●~●~●~●~
Posted on: Sun, 18 Aug 2013 07:12:01 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015