*Alhamd-u-Lillah* Hazrat Anas Radiallahu Anhu Ka Bayan Hai Ke - TopicsExpress



          

*Alhamd-u-Lillah* Hazrat Anas Radiallahu Anhu Ka Bayan Hai Ke Rasool’ Allah Sallallahu Alaihi WaSallam Ne Farmaya K Jab “ALLAH” Tala Ne Zameen Ko Payda Farmaya To Wo Hilne Lagi To “ALLAH” Tala Ne Pahadon Ko Payda Kiya Aur Zameen Ko Pahadno K Sahare Per Thehra Diya. Ye Dekh Kar Farishtao Ko Pahadon Ki Taqat Per Bada Tajjub Hua – Aur Inho Ne Arz Kiya Ke Aye Parwardigar! Kiya Teri Makhlooq Me Pahadon Se Bhi Badh Kar Taqatwar Koi Cheez Hai? To Allah Tala Ne irshad Farmaya Ke Haan – LOHA. To Farishtao Ne Kaha Ke Kiya Teri Makhlooq Me LOHE Se Bhi Badh Kar Taqatwar Koi Cheez Hai? To Farmaya K Haan – AAG (FIRE). To Farishtao Ne Pucha Ke Kiya Aag Se Bhi Badh Kar Taqat Rakhne Wali Koi Cheez Hai? To Allah Tala Ne Farmaya K Haan – PAANI Phir Farishtao Ne Sawal Kiya Ke Teri Makhlooq Me Paani Se Bhi Zyadah Taqatwar Koi Cheez Hai? To Irshaad Farmaya K Haan – HAWA Ye Sun Kar Farishtao Ne Daryaft Kiya Ke Kiya Teri Makhlooq Me Hawa Se Bhi Zyadah Taqatwar Koi Cheez Hai? To Irshaad Hua Haan – Ibne Aadam Apne Dahine Hath Se Sadqa De Aur Bayne Hath Se Chupae – Matlab Ye hai Ke Is Qadar Chupa Kar Sadqa De Ke Daine Hath Se Sadqa De Aur Bayen Hath Ko Bhi Khabar Na Ho. Sadqa Pahaad, Loha, Aag, Paani, Hawa Tamaam Cheezao Se Badh Kar Taqatwar Hai.
Posted on: Mon, 22 Jul 2013 11:50:44 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015