**Assalam u Alaikum wa Rahmatullahe wa Barakatohu** Bismillah - TopicsExpress



          

**Assalam u Alaikum wa Rahmatullahe wa Barakatohu** Bismillah hir-Rahman nir Rahim Aur beshaq Masjidein Allah ke liye hain , tum Allah ke saath kisi ( aur ) ko na pukaro ------------------------ Al Quran : Aur beshaq Masjidein Allah ke liye hain , tum Allah ke saath kisi ( aur ) ko na pukaro {Surah Al-Jinn (72), Verse 18} Hadith: Umma aayesha radi allahu anha se rivayat hai ki Umma habiba aur Umm salma radi alllahu anhuma ne ek Kalisa (church) ka zikr kiya jisey unhoney habsha mein dekha tha usmein moortein (tasweerain) thi unhoney uska tazkara Nabee sallallahu alaihi wasallam se bhi kiya, AAP Sallallahu alaihi wasalam ne farmaya ki unka ye Qayada tha ki agar unmein koi Neik shaksh mar jata to wo log uski Qabr par masjid banatey aur usmein yahi tasweerain bana detey , ye log ALLAH ki baargaah mein Qayamat ke din Tamam makhluq mein burey hongey {Sahih Bukhari , Vol 1, # 427} Aur us usey badkar kaun zalim hoga jisney Allah ki masjidon mein uska naam lene se mana kar diya,aur unko veeran karney ki koshish ki aisey logon ka haq nahi ki inmein dakhil ho magar dartey huye unkey liye duniya mein bhi zillat hai aur aakhirat mein bada azab hai {Al Quran Surah Baqra (2) , Verse 114} ------------------------------- English Translation: And the mosques are for Allah (Alone), so invoke not anyone along with Allah. {Surah Al-Jinn (72), Verse 18} Hadith: Narrated Aisha may ALLAH be pleased with her :Um Habiba and Um Salama mentioned about a church they had seen in Ethiopia in which there were pictures. They told the Prophet Peace be upon him about it, on which he said, If any religious man dies amongst those people they would build a place of worship at his grave and make these pictures in it. They will be the worst creature in the sight of Allah on the Day of Resurrection. {Sahih Bukhari, Vol 1, Book 8, #419} And who are more unjust than those who forbid that Allahs Name be glorified and mentioned much (i.e. prayers and invocations, etc.) in Allahs Mosques and strive for their ruin? It was not fitting that such should themselves enter them (Allahs Mosques) except in fear. For them there is disgrace in this world, and they will have a great torment in the Hereafter. {Al Quran Surah Baqra (2) , Verse 114}
Posted on: Fri, 15 Aug 2014 02:49:05 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015