. . . . Khabardar jo iske aage ek lafz bhi bola. . . . Ek - TopicsExpress



          

. . . . Khabardar jo iske aage ek lafz bhi bola. . . . Ek muslim ho kar tum ne ye kaise kah diya ki. . . . aaj kal maaf karne ka zamana nahi hai. Bhalai karne ka zamana nahi kisi ke sath khair karne ka zamana nahi ? ? aakhir tum ne apni zindagi me aisa kya dekha ki aisi galat batai kahne ki jurat karte ho ? . Kya bhool gae jab tamam makhlook ke sardar , SYYEDUL BASHAR hamare NABI -s a- ne TAAEF ka safar kiya tha . . . Log hamare -NABI-s a- ko patthar phaink kar mar rahe the. . . .jism se khoon bah raha tha aur NABI -s a- kah rahe the . . . Ay ALLAH inki magfirat farma , inko maf farma . . Kya tumko malum hai ki NABI-s a- ne apni zindagi me jetni taklifai bardasht kin unme sab se sakht aur badi taklif TAAEF me mili. uske bawajud bhi unki zaban se un logo ki magfirat ki doa aur unko maf karne ki ye ada tumhare liye koi hakikat nahi rakhti ? ? kya tumko ye bat malum nahi thi ? ? ya duniya ne tumko etna sochne ka mauka hi nahi nahi diya ki is bare me bhi kuch soch sako ? ?
Posted on: Mon, 01 Dec 2014 07:25:23 +0000

Trending Topics



stbody" style="min-height:30px;">
Thank you Katie Foote and Epicure & Culture: Food, Wine & Culture

Recently Viewed Topics




© 2015