*****{ Khane ki Sunnatain }***** . 1. khana khane se pehle - TopicsExpress



          

*****{ Khane ki Sunnatain }***** . 1. khana khane se pehle bismiLLAH (BisMILLAHI wa ala baraka TILLAH) padhlena chahiye, Huzoor sallALLAHU alaihi wasallam ne aik kam umar sahabi R.A se khitab karte huwe ye hukum diya, “ aye bacche! ALLAH ka Naam lo, sidhe hath se khao aur apne samne jo hai waha se khao”. (Muslim) . 2. is hadees se bisMILLAH ke alawa aur 2 sunnaton ka saboot mila, wo ye ke sidhe hath se khana chahiye, . 3. aur teesri sunnat ye hai ke Apne samne se khayen yani jo cheez apne samne hai wo khayen. . 4.khane ke douran agar luqma gir jaye to us ko saaf kar ke khalena chahiye, Huzoor sallALLAHU alaihi wasallam ne irshad farmaya: Jub tum me se kisi k hath se luqma gir jaye to jo kuch us ko laga ho wo door karde phir khale. (Muslim) . 5.Teen ungliyon se khayen, Huzoor sallALLAHU alaihi wasallam Teen ungliyon se khaya karte the.(Muslim) Han!Agar koi aisi cheez ho jis ka Teen ungliyon se khana mumkin na ho to phir gunjayesh hai char ya panch ungliyon se khayen. . 6. khane k baad bartan ko saaf Karen aur ungliyon ko chat lain, Huzoor sallALLAHU alaihi wasallam ne ungliyon ko chat laine aur bartan (plait) ko saaf karne ka hukum diya aur farmaya ke tum nahi jantek kis dane me barkat hai. . 7. khane ke baad ALLAH TaAla ki Hamdo sana bayan Karen, Huzoor sallALLAHU alaihi wasallam ne irshad farmaya , ALLAH TaAla us bande se razi hote hai jo khaye phir us per ALLAH TaAla ki tareef bayan Karen.(Muslim) . 8. Khane ke baad ki wo dua padhe jis me ALLAH ki Hamd-o-sana hai, “AlhamduLILLAHilladzi at amana wasaqana waj alna minal muslimin” Shukr hai ALLAH ka jis ne hum ko khilaya aur pilaya aur hum ko musalman banaya. (jame tirmizi) . 1.Dono hath gattho tak dhona. 2.Dastarkhwan bichana. 3.BisMILLAH padhna. 4.Daye hath se khana (baye hath se har giz na khaye). 5.Apne samne se khana Agar tashtari me kai qisam ki cheezen ho to jo pasnd ho wo khaye kisi ka hath badh raha ho to Apne hath ko rok le. 6.Teen ungliyon se khana. 7.Pyala tashtari Neez ungliyon ko chat kar saaf karna. 8.Agar luqma gir jaye to utha kar khalena. 9.khane me ayeb na lagana. 10.Taik laga kar na khana. 11.khane ke baad ki dua padhna. 12.pehle dastarkhwan uthana, phir khud uthna. 13.kulli karna. 14.dono hath dhona. 15.khane se pehle bisMILLAH bhool jaye to ye dua padhe (bisMILLAHI awwalahu wa akhirahu). ALLAH ke Naam ke sath khane ke shuru me bhi aur us k Aakhir me bhi.(Sunan Abi Dawood). *******************ALLAH taala sunnato ki pabandi karne wala bana de, ********ALLAHUMMA aameen
Posted on: Tue, 27 Jan 2015 09:09:53 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015