* * MOMIN Kon Hai ?? * -------------- * MOLA ALI (as) Ke Ek - TopicsExpress



          

* * MOMIN Kon Hai ?? * -------------- * MOLA ALI (as) Ke Ek Sahabi HMAAM (ra) Bade AABID The - Unhone Arz Kra- YA MOULA, Mujhe MOMIN Ke OSAAF Byan Kre Goya Mein Unko Apni Aankho Se Dekh Rha Hu MOULA (as.) Ne Jwab Dene Se Guraiz Kiya Aur-Farmaya, Aey HMAM ALLAH Se Darte Rho NEKI Iqhtiyaar Karo -BA- TAHQEEQ ALLAH Tala Un Logo Ke Sath Hai Jinhone TAQVA Iqhtiyar Kiya - Ye Wo Log Hai Jo AHSAN Krte Hai -HMAAM Ki Is Jwab Se Tasalli Na Hui -Usne Arz Kra MOLA, Mein Apko Us Zaat Ka Vasta De Kar Arz Krta Hu Jisne Aap (as) Ko MUQARRAM Kiya, QHUSIYAAT Ata Ki-DOST Rakha Aur FAZILAT Inayat Farami Aap Mujhe Unke OSAAF Kyo Byan Nhi Krte -Ye Sunkr MOULA (as) Apne Dono KADMO Par Khre Ho Gye ALLAH Ki Hmdo Sna Farmai - RASUL Pr DAROOD Bejha Aur Aapke AHLE BAIT (as) Pr SALAWAAT Khi Aur Phr Ek QHUTBA Irshad Kra -[Ya Ayihnonass !! ALLAH SUBHANHU Taala Ne Ne Jb MAQHLUQAAT Ko Paida Kiya To Unki ITAAT Se BE-NIYAAZ Aur Unke GUNAHO Se BE - QHATR Ho Kr KAAR GAHE HASTI Mein Unhe Jgh Di, Kyoki Use Na Kisi MAASIYAT Qaar Ki MAASIYAT Se Nuqsaan Hai Aur Na Kisi FARMA Bardaar Ki ITAAT Se Fayeda Pohchta Hai.Usne Zindagi Ka SRO SAMAAN Unmein Baat Diya Hai Aur Duinya Mein Har Ek Ko Uske MUNASIB HAAL MAHAL Wa MUQAM Pe Raqha Hai, Chunache Fazilat Unke Liye Hai Jo PARHEZGAAR Hai, Unki BOOL CHAAL SHEERIN Hai, PEHNAVA SADA (Comn) Hota Hai. CHAAL - DHAAL - GUROOR Aur GHAMND Paak- AKAR Nhi Hoti. ALLAH Ki HRAAM Krda Cheezo Se Unhone AANKHE Band Kr Li Hai Aur FAYEDE MAND ILM Par Apne KAAN (Ear) Dhar Liye Hai. Unke NAFS ZEHMAT Wa TAQLEF Mein Bhi Waise Hi Rehte Hai Jaise AARAM Wa AASAISH Mein Agr (ZINDAGI Muqara) MUDDAT Na Hoti Jo ALLAH Ne Unke Lye Likh Di Hai To SAWAAB Qe SHOQ Aur ATAAB (Dozakh) Ke Qhof Se Unki Ruhe Unke Jismo Mein CHASHM ZDAN Ke Liye Nhi Thehrti,KHALIQ Ki Azmat Unke Dilo Mein Bedhi Hui Hai . Unko JANNAT Ka Aisa Hi Yaqeen Hai Jaise Aankho Se Dekhi Hui Cheez Ka Hota Hai To Goya Isi Waqt JANNAT Ki NAIMATO Se SAR FAARAZ Hai Aur DOZAQH Ka Bhi Aisa Hi Yaqeen Hai Ki Jaise Wo Dekh Rhe Hai To Unhe Aisa Mehsus Hota Hai Jaise Wha Ka AZAB Unke Charo Traf Hai. Unke DIL GHAM ZDA , Chehre Pr Fiqr, Log Unki Zban Se Mehfuz Rehte Hai. Unke JISM LAAGHAR (Kamzoor) . ZARURIYAT (Desire) Kam, Nafs Aur Nafsaani Qhwahishaat Se ......................... Unhone Sabr Kiya Hai.**** Note :- KHUTBA Bht Long Tha,Islye Ke Sath SHORTLikh Rha Hu.
Posted on: Sat, 10 Aug 2013 11:02:11 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015