✏Maa-Baap K Mutaalliq Kuchh Ahadees E Kareema: Hazrate Ibne - TopicsExpress



          

✏Maa-Baap K Mutaalliq Kuchh Ahadees E Kareema: Hazrate Ibne Umar Radiallahu Tabaarak Taala Anhu Farmaate Hain k mere Nikah Me Ekk Aurat Thi Jisey Mai Bahut Muhabbat Karta Tha Mere waalid Ko Woh Pasand NA THI Unhone Mujse Farmaaya Tum isey TALAAQ De Do Maine Inkaar Kiya... Toh Hazrate Umare Farooq (radi allaho anho) Taajdaare-Do-Aa lam (sallallaho alayhe wasallam) K Paas Gaye Aur Waaqeya Zikr Kiya...Aaqa E Kareem (sallallaho alayhe wasallam) Ne Mujhe Huqm Diya K Uss Ko Talaaq De Do.. (VALID KA HUQM MAANO) {Abu Daawood 1189} {Ibne Maajah 2088} {Musnade Imaam Ahmed 2/20} Tajdaare Ambiya Sallallahu Tabarak Taala Alyhe Wasallam Ke Paas Ek Shaks aaya Arz ki Maine Bahot Bada Gunah Kar Daala Hai.. Kya Meri Tauba Ho Sakti Hai...? Aqa E Kareem (sallallaho alayhe wasallam) Ne Irshaad Farmaaya Kya Tumhaari MAA Hai...? Usne Kaha Nahi Farmaaya Tumhaari KHALA Hai...? Kaha Haa... Aap Ne Farmaaya Uss Ke Saath Neki Karo. {Tirmizee 1903} {Musnade Imaam Ahmed 2/13} Tajdaare Ambiya Sallallahu Tabarak Taala Alyhe Wasallam Ne Irshaad Farmaaya K Jis Ne Apne MAA Ya BAP K Taraf Se Hajj Kiya Usey Usko Kifaayat Karega Aur Unki Rooh Ko Aasmaan Me Bashaarat Di Jaayegi Aur Allah Tabarak Taala K Nazdik Ladke Ko Nek Likha Jaayega Aur Uss K waalid Ya waalida Ko 1 Hajj Ka Sawaab Likha Jaayega aur Ess Ladke Ko 7 Hajj Ka Sawaab Diya Jaayega {Jame Ul Usool 210} {MajmauzZawaa eed 3/282} Ekk Sahaabiya Aayee Arz Ki Meree MAA Aaee Hai Jo Mushrika Hai Aur Islam Se Earaz Karti Hai Kya Mai Uss Se Achchha Suluk Karun... ? Tajdaare Ambiya Sallallahu Tabarak Taala Alyhe Wasallam Ne Irshaad Farmaaya HAA Apni MAA Se Achchha Suluk Karo {Bukhaari Shareef 2620} {Muslim Sharef 1003} {Abu Daawood 1668} SubhanAllah SubhanAllah ★Rabbe Kareem Hidaayat Ata Farmaaye Hum Sab Ko K Apne Waaledain Ka Haqq Pehchhaan Ne Aur Ada Karne ki. Aameen
Posted on: Sun, 24 Nov 2013 15:56:23 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015