. . . . . .ZARA GAUR TO KAREN. . . . . . . Hum kya kar rahe - TopicsExpress



          

. . . . . .ZARA GAUR TO KAREN. . . . . . . Hum kya kar rahe hain? . Hum Apne iman ki hifazat kare aur gunah se bache, Hum Juloos nikalte hain, aur sandal nikalte hain, kya iske ahkam kabhi pata kiye ? معاز الله Usme Bomb/pathake phodna,Dance karna, aur DJ bajana yeh sab kahan se aaya ? Afsos hota hai yeh sab dekh kar Aayiye aapko ek-do Riwayatein batata chalun, 1)-ALLAH عزوجل tanbura, saaringi, aur dugdugi bajany wale ke illawa her gunahgar ko, muaaf ferma deta hai (Alnihayat Fi-Ghareeb, V:3, Page:196) 2)-Hazrat sayyaduna naafe ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ عنهم farmate hain, Ek baar main hazrat sayyaduna ibne umar ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ عنهم ke saath ek raste me tha, ki apne baaje ki awaz suni to apni dono ungliyan, apne dono kano me dal li, aur us raste se dusri taraf hat gaye phir, door jane ke baad mujhse farmaya, Aye nafe, kya tum kuch sun rahe ho ? mene arz ki, nahi Tab Aap ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ عنهم ne apni ungliya apne kano se hatayi aur farmaya, Main RasoolALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ke saath tha, Aapصلی اللہ علیہ وسلم ne bansuri (Flute) ki awaz suni, to isi tarha kiya jo mene kiya. (Abu dawood,hadees no.4924 Jild 4 page 306) In hadeeson se aapko pata chal hi gaya hoga, ki khud ALLAH عزوجل aur hamare pyaare Aaqa صلی اللہ علیہ وسلم kis qadar Music se nafrat karte hain... Toh kya aapke juloos me DJ bajta dekhkar woh khush honge ? Aur kaise, woh Auliya Ikraam jo Aap صلی اللہ علیہ وسلم Ke naam par aapni jaan qurban karte the, woh Music pasand karenge ? Mere pyare bhai yeh possible nahi.. Ab aap hi batao ki kya woh Hamare sandal me bajne wala DJ pasand karte honge ? Yaqeen jaane agar hum shariat ke hisaab se chalein, toh kisi me itna dum nahi ki Ahle-Sunnat-wal-Jamaat ke, kisi bhi Aqide par ungli utha sake... Magar hum jaise kuch kam-ilm wale logon ki wajah se puri jamaat bad-naam ki jaati hai aur bhole bhale Sunniyon ko behka kar gumraah kiya jaata hai. Yeh kehkar aur dikha kar ki sunni aisa karte hain aur Islam me ALLAH ke siwa kisi ko sajda nahi karna hai, Islam me Music haraam hai Dance karna Na-jaiz hai etc.... Agar ab yeh msg padhne ke baad bhi, agar aapne in kaamon se tauba nahi ki, toh ek baar aapne dil par haath rakhkar zaroor puchlein ki kya yeh sab kaam aur amal jo main karta hun, ALLAH عزوجل uske Rasool صلی اللہ علیہ وسلم ko Raazi karne ke liye karta hun ya phir sirf time pass ya Tamasha ya apne maze ke liye toh nahi? معاز الله Agar meri kisi baat ka aapko bura laga ho to mujhe ALLAHke waste muaf karna..... ALLAH humein haq kehne haq sunne aur haq par Amal karne ki taufiq ata farmaye...... , ALLAHUMMA aameen. . . . . . . . . .
Posted on: Sat, 03 Jan 2015 06:08:25 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015