"faada poster aur nikaala gussa" Santoshi sahab ne peehe atyant - TopicsExpress



          

"faada poster aur nikaala gussa" Santoshi sahab ne peehe atyant safal umda aur smaajik filmein bnaayi hain lekin "fata poster nikla heero" dekh kar yeh vishwaas nahi hota k unhone Andaaz Apna Apna bnaayi hogi, Ghaayal bnaayi hogi, lajja bnaayi hogi. comedy, maa bete ka pyaar aur baap ka climax main milna bichdna.... hindi cinema ke pake pakaaye smaan ko mila k Santoshi ne biryaani bnaane ki jagah baasi chaawal bna diye hain. film ki shuruaat behad kamjor dheeli aur pkaau hai. 2008 main aayi Santoshi ki halla bol main ek dialogue tha k "aaj ke hero comodity ho gaye hain, kabhi thanda thanda..kabhi cool cool" phata poster main bhi shahid commodity ki tarah cool cool se nazar aayein hain. le de k saare jumle saurabh shukla aur sanjay mishra ke hi hisse aaye hain. shahid na hi toh hsaane ki koshish karte hain, aur na hi hasi aati hai. film ratae rtaaye aur clich`e kahaani ho jaati hai.first half main mushkil se 2- 3 baar hasi aati hai. film comedy na ho kar ek action emotional film ban jaati hai. zaahir hai producer ka dhyaan dabang, rowdy aur 100 crore ki taraf hoga. doosra half local train k dabbe jaisa hai. kuch bhi kahin bhi daal diya hai. doosre half main nargis fakri ka item number aapke liye 4 minute ke power nap ka kaam karta hai. ileyanna bhi aati aur jaati hai. Sangeet ke naam par preetam ne bus kuch bhi de diya hai. Ajab Prem ki ghaz kahaani ka sangeet kahin behtar tha. Ek taraf jahaan Anand Gandhi, Rakesh Batra jaise director jahaan aawaam main apna vishwaas jaga rahe hain, wahin par Santoshi, David dhawan aur Bhansali jaise umdaa directors ko ab kuch sochna hoga. kul mila kar is shukrva ko release huyi filmon main lunchbox sabse umdaa rahi hai. shahid kapoor ko ghar pe CD lga ke "ishq vishq" main dekh sakte hain. baaki.. na poster fatne laayak tha, na hero dekhne wala...."
Posted on: Mon, 23 Sep 2013 21:23:27 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015