1.Nature Aur Science Allah ka subot deti hai.. Ye ak haqeqat hai - TopicsExpress



          

1.Nature Aur Science Allah ka subot deti hai.. Ye ak haqeqat hai k Allah k wujod ka bara subot Uske wo mukhlooq hai Jo hamare samne mojod hai. Fitrat aur usk bare me Hamara ilm gawahe deraha hai k Beshak is dunya ka Ak Khuda hai Aur usko maan k beghair Na hum is Kainat ko samj sakte haen aur nhi Apne Apko. Kainat ka wujod Aur usme haratangez nezam 3.Nature Aur Science Allah K Hone Ke Gawahi Deti hai.. Kyo k is waqt Physical aur chemical aml jari hai uslia dunya k hangame b jari haen. Is new theori ka hawala detay hoe EDWORD LUTHER KESSEL likhte haen k Is ter beghair irade k Science ke tehqeeq ne sabit kya k Kainat ak khas time per shru hoe thi ¤The Evedence Of God p51 Ye he bat Sir JAMEZ JENEEZ ne is terh bayan ke hai Scince ka kheyal hai k Germi k yaksan hone ka aml Jari rahega.. 4.Nature Aur Science Allah K Hone Ke Gawahi Deti Hai.. Jub tuk Taqat bilkul khatum hojae Aur wo aml abi tak Apne akheri manzal tak nhi puncha hai. Jub ye punchega Tub tak Hum usk sochne tak mojod he nhi hongay Wo aml tezi se jari hai.. Is se sabit hua k Wo Aml Ksi muqarer waqt se shru hua hai Jisko hum Khas waqt ke pedaish(Creation At A Time)keh sakte haen. Asa ho nhi sakta k Kainat hamesha se mojod ho. ¤The Myseterious Universe P 133.. 5.Nature Aur Science Allah K Hone Ke Gawahi Deti Hai.. Jub Ye Sabit hua k kainat pehle se mojod nhi Bd me wujod me aae hai Tu Zahir hai k Usko kisne tu banaya hoga? CHEZ TU HO LEKIN USK BANANE WALA NA HO YE Na MUMKIN HAI. Asmano k Mushahiday se pata chala hai k Kainat Musalsle wide horahe hai Sitare Aur Sayare Tezi se ak dosre se door hote jarahe haen Shayed ksi waqt ak jageh jamao thay Us se andaza lagaya gaya hai k Taqrebun 50 Hundred Millions years 6.Nature Aur Science Allah K Hone Ke Gawahi Deti Hai.. Pehle ye Dunya Ak Damake se buni thi. Ab ye mana k Dunya pehle se wujod me nhi thi Bd me aae hai Lekin uska banane wala yany Khaliq ko na maana jae Wo asa hai jase koe kahe k Tajj Mahal pehle se nhi tha 1700E k bech me bana Lekin usk Mistri aur Enjneer ko na maana jae Aur is terh kaha jae k Wo ak din khud b khud bun gaya tha Kitne bewaqoofi ke bat hai. 7.Nature Aur Science Allah K Hone Ke Gawahi Deti Hai.. Scientisto ne ye b malom kya hai k Asmano me itne Sitare haen Jtne Dunya me Samander k kinare Retti k Zarrat. Un me kuch Sitare Zameen se kafi bare haen Lekin kuch tu ase haen k Jin me Million Zameene samaen. Kainat itne bari hai k Ager koe Jehaz Jiske raftar Roshni jitne ho(186000 mile/sec) Wo unk chodari ak cheker lagae Tu us ko ak hazar Million sal lagengay Usk bd ye dunya Her sec: p ber rahe hai. 8.Nature Aur Science Allah K Hone Ke Gawahi Deti Hai.. Asman me beghair Microscope k 5000 Sitare nazer atay haen Minor Microscope Se 20 Lakh Highly se Millions. zameen ko sub se qareb Chand hai Jo Zameen se 240000 door hai Jo Zameen k chodari chaker lagata rehta hai aur Uska ak chaker 29 1/2 dino me pora hota hai Zameen Suraj se 95 Millions miles door hai Zameen Apne Center se Ak hazar Mile/hour k hesab se ak sal me chuker pora krti hai.. 9.Nature Aur Science Allah K Hone Ke Gawahi Deti Hai.. Surj b ak jageh khara nhi hai balak wo b Apne sare sayaro k sath 6 Lakh miles/hour k hesab ke ruftar se chul raha hai. Ye itne sare Sitare aur Sayare Apne irdgred Goom rahe haen Na unka apse me koe takker hota hai aur Nhi raftar me ksi qism ke kami ati hai. Asa he nezam Jo Asmano me Nazer ata hai Wahi is dunya me nazer ata hai Sub se choti chez Atom hai Jisko ksi b zareay se dekha nhi jasakta Lekin 10.Nature Aur Science Allah K Hone Ke Gawahi Deti Hai.. is chotay se zare me b Gerdashi nizam mojod hai Atom me Electron aur Proton haen Wo Atom k ander Is ter gerdush kr rahe haen Jis terh Zameen Suraj k chodari.. Ab Ap Sochen Ase Zaberdust Nizam ko dekh kr Ksi Khaliq E Kainat k bare me shak hosakta hai? Jis terh ye tasawer b nhi hosakta k Computer Insan k Zehn k beghair bun sakta hai Isi terh tasawer b nhi kya jasakta k Itne Bari Zaberdust Kainat.. 11.Nature Aur Science Allah k hone ke Gawahi Deti Hai..beghair ksi k banae hoe bani ho aur Us Bana ne wale ka Nam Allah/Khuda hai. Insan ka Zehn Intzam krne wale k beghair Intzam ka tasawer b nhi kr sakta. Such ye hai k Insani zehn k lia Allah k inqar ke koe gunjaish nhi. CHAD VASH Keht haen k Her us shax se Jo Khuda ka inkar krta hai Swl kya jasakta hai k Wo batae k Itfaqi halaat Kase asa tawazun rakh sakti haen Jo is Kainat me nazer araha hai?.END
Posted on: Wed, 24 Jul 2013 16:38:37 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015