16vee sadi esvi may muslaman her tarf zawal ka shikar thay - TopicsExpress



          

16vee sadi esvi may muslaman her tarf zawal ka shikar thay Purtugal or Spain say Mooris ka ikhraj hochuka tha un k sath honay wala zulm dastane alam bn chuka tha, europe ki essaiee qovtay farsoda nizam e zindagi ko chor kr naiee taleem or techniques ko apna chuki thi voh muthid or mazboot thi or kisi bray marky k lia tayyar bethi us waqt adhay europe per shensha CHarles ki hukmat thi jo france ka hukmran tha, magr in tmam bato kay bawajood muslmano na un tmam taqato ko neechay dekhaya europe ko na sirf jang belgrade, Hungry rodus bhalky AUstria may bhi shikhst dekhni pari Muslaman us Zamanay ki Khlafat ek aisay shakhs kay hath may thi jo us waqt muslim dunya bhlky poori dunya may us waqt sab se bra shensha tha, Us ki raya parvari or adal o insaf kay qisay poori dunya may sunay jatay thay yah tak yahdio raya nay us kay hia panah li or us se madad mangi k hamay esaio ka zulm o sitam say bachya jay, Adal o insaf ka dor dora tha, Khushali ka ya Alam tha koiee shaks doohnday say khairat k lia nahiee milta tha us raya paravari k aisay qanoon banay kay voh qanooni mashoor hogaya na sirf bari foj nahyat zabardast or fatehmand thi bhalky Bahir foj ko bhi kama hasil tha Khairuddin Pasaha, Tor ghot, peeri Raees or Syeedi ali jaysay namavar behri sipha salar usi k dor e hukumat may thay adah mashrqi europe voh fateh kr chuka tha bahri lihaz se us k jahaz spain, africa, asia may sindh tak muslamano ko bahifazat phuchaty or esasio or degar bahri qazaqo kay hamlo say unhay bachya us ki sultant 7 kror say zaid abadi per mushtamil thi jo yemen misr markish, aljazair, iraq, saudi arab, sham sy hoti hoiee hungri, rodas begrade or turkey, qibras tak pheli hoiee yahi thi yahi hal samandri rasto ka tha europe asia, or africa k per samandari hukamat azmat k sath qaim thi. Voh koiee or nahiee Sultan Suleman Aleeshan tha jo tareekh may SUleman Qanooni, or Suleman the Magnificient k nam say mashoor hoa aaj us ki niji zindagi ko maskh kr k aisay pesh kia ja raha hay us k tamam krnamy hetch hay sirf ek orat k kehnay per us azeem shun sultant ka zawal ka bais bana. Jaisa Abdul malik bin Marwan jab us se Atika binte Yazid nay apnay betay Yazid bin Abdul malik k bray sifarish ki to us nay kha sultant k mamlat may orto ki mukhlaft sakht na pasnd krta hoo us Jahil betay ko Jansheen namzad kia jo sirf QUran prh sakta tha magr tareekh nay usay bhut laiq hukmaran sabit kia Voh Walid bin Abdul malik jis k sipha salar Muhammad bin Qasim nay Sindh, Quteba bin Muslim nay Central Asia or Tariq bin Ziad or Moosa bin Nusair nay Spain Fateh kr k islami sultant ko door door tak phela dia. Magr kisi ki nji zindagi ko is trah say pesh krna k voh sirf orto or ayashi ka shoqeen ghlt hay voh inthaiee qabil tareen hukmrano or fateho may say ek hay. Albta Haroon Rasheed ko jis trah ek orat nay dua di kay to apnay intahiee urooj ko phuchay to Hroon rasheed nay kha ya mujhay dua nahiee buddua de rahi hay k inthaiee urooj k baad zawal hi shoro hota hay or yahi suleman k baad hoa saleem ek naashaiee tha or is k baad sultant 300 sal qqim rhi magr vesi nahiee jo suleman k zamany may thi.
Posted on: Thu, 17 Oct 2013 16:23:04 +0000

Recently Viewed Topics




© 2015