A story by Anonymous! Jazeerah Hamra yeh aik aisa village hai - TopicsExpress



          

A story by Anonymous! Jazeerah Hamra yeh aik aisa village hai jo Ras Al Khaima k kisi kone mein hai jis mein 300 ghar aur 13 masajid hain. History is area ki kuch yun hai k 1930 mein jb UAE develop hona shuroo hua tha to logon ko bht zyada tadaad mein government jobs ki offer hui. Kyun k us waqt government job ki bht value thi to is gaon mein basne wale logon ne is gaon ko chorh kr UAE ki doosri riyasaton mein shift hona shuroo kr dia. 1930 k baad jahan baqi riyasaten achi khasi develop ho chuki thi waheen pe yeh chota gaon tb se le kr ab tk waise ka waisa hi hai. UAE ki government k lakh koshishon k baad bhi yeh area develop nahi ho saka aur is area ki sb se strange baat yeh hai k shaam k 5 bajte hi is area ka temperature girne lg jata hai. Issi area se related mein aaj apna waqiya sunati hn. Pichle saal March mein main aur mere 5 frnds jin mein kuch male hain hm ne faisla kia is area ko visit krna ka. Wahan phnchne per hm ne apni gari ko us area se thora door park kia. Us village mein hm raat k 8 baje phnche. Chun k wo gaon haunted tha to wahan phnchne per aik ajeeb si kafiyat mehsoos hui. Hm ne faisla kia k hm aik aik ghar ko achi tarah dekhen ge k kya yeh waqayi mein haunted hai ya phr kisi kism ki koi illegal practice hoti hai. Khair jese hi hm aik kamre mein dakhil hue mera aik dost jisse photography ka bht shok hai us ne photos lena shuroo kr di. Kyun k hame aaj kl har aik DSLR wala banda aik photographer nazar aata hai issi baat ka faida mere aik aur dost ne uthaya aur ussi photographer dost ko pics lene ka kaha. Jese hi mere us photographer dost ne pic li hm ne us pic mein dekha k jo dost mera pic khichwa raha hai usse kisi ne waist se pakra hua hai. Hm ne yeh dekh kar aur pics lene ka faisla kia lekin hamari badqismati yeh thi k wo pics srf kaali aayi Pics kaali aane ki wajah se hm ne us ghar se doosre ghar mein jane ka faisla kia. Hm ne wo ghar dhundha jahan halki si roshni thi ab jese hi us ghar mein gae wahan per hm sb doston k pait mein dard hona shuroo ho gaya aur issi k sath sath hamare upar bht si cheezen urh urh k girna shuroo ho gayi. Kyun k ab yeh dard bardasht se bahir tha hm ne us jagah se nikalne ka faisla kr lia aur apni gari tk phnche. Gari k paas phnchne k baad hm sare doston ko ultian lg gayi aur hm taqreeban 5 din tk bimaar rahe
Posted on: Thu, 01 Jan 2015 11:56:16 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015