AGAR NAK NA HOTI........ Kitna achaa hota agar nak na hoti, nak k - TopicsExpress



          

AGAR NAK NA HOTI........ Kitna achaa hota agar nak na hoti, nak k chakkar mein aadmi ka jeena muhal ho gya hai. Nak unchi rakhne k liye log janm par hi nahi mratyu par bhi dawat khilate hai, aur shadi, vivah aadi mein andhadhundh kharcha karte hai. Kharidne ki aukat na hone par bhi mehangi kist dekar tv, fridge, coolar ityadi kharid lete hai, kyunki nak neechi rehne se darte hai. Apni nak ki sath pure khandan k nak judi rehti hai. Kabhi aisi waisi bat ho jaye ladka ghar se ruth k bhag jaye, koi jhuta iljam lag jaye to pani nahi pure khandan k nak kat jati hai. Agar hum seedhe let kar dekhen to sabse uncha sthan nak ko hi prapt hai man na man main tera mehman ki tarah jukham main aa kar pasar jata hai aur nak main dum kar deta hai. jeevan main hasna rona bhi padta hai, hasne ki baat to chhodiye rote smay ankhon se ansoo nikalte hai, to un ansuon ka sath nibhati hai nak, rote samay ansuon ko ponchna buri baat nahi hai kintu nak ponchne se to rone ka sara manja hi kirkira ho jata hai. chasme ka acha khasha stand hai nak. Agar nak na hoti to bataiye chasma kaha theharta ? Kabhi kisi ki ankh aa jaye ya chali jaye to use kala chasma pehan kar chhupaya ja sakta hai, kan kat jaye to kantopa pehnaya ja sakta hai, yadi nak kat jaye to bahla bataiye uski koi surat dekhna bhi pasand nahi karega balki dekh kar darega. Yah bhi ek mano vaigyanik satya hai k jo yani khud nakte hote hai we dusron ko bhi nakta dekhna chahte hai. Bahut se log is tak main rehte hai k kab kaise kisi ki nak ragadwa de nak ka ilaj plastic surgery dwara ho bhi jata hai kintu wah itna mehanga padta hai k achhe-achhe nakushak ko bhi nani yad aa jati hai. Nak aur chhink dono saheli hain, kintu log jyada tar unhen akeli dekhna hi pasand karte hai. Bahut se logon ka gussa nak par rehta hai, unse jara kuch kaha nahi ki jhalla uthte hai, kuchh log dusron ki nak ragadwane ko apni shaan samajhte hai. Log chahe jab chahe kisi ka bheja chat sakte hai, khopdi chat sakte hai kintu nak k sath aisa kuch bhi nahi hota. Achhe-achhe chatoron ko bhi yahan muh ki khani padti hai. Agar chehre par nak na hoti to chehra ek dam registan ki tarah sapat aur chakki sa pat najar aata hai. Nak kuchh jaldi hi kat jati hai aur, prayah bina kisi hathiyar ke. Agar nak na hoti to batao sudh ghee aur desi heeng ki pehchan kaise hoti ? Khusbu aur badbu main koi antar nahi reh jata.
Posted on: Fri, 21 Jun 2013 17:36:56 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015