ALLAH SE MANGO DUA MAI pehle k zamane mai jab huzoor ne bataya k - TopicsExpress



          

ALLAH SE MANGO DUA MAI pehle k zamane mai jab huzoor ne bataya k tum ALLAH se mango, dua kar k mango, tumne kuch acha kam kiya, ALLAH se mango, QURAN paro, bismillah se shuru karo khatam hone k bad dua karo, aj k log bismillah se shuru karte hai shukriya keh k khatam kar dete hai, ALLAH tala kehte hai jo koi sajde mai ro k gir gira k kuch mangte hai to ALLAH uski jaldi sunte hai, ALLAH tala ne jitni advantage ummat e muhammadiya ko hai utni kisi ummat ko nhi di, ALLAH kehte hai agar koi gunah karte hai to marne se pehle tauba karln, mai uske gunah maf kar dunga, kisine agar sari zindegi namaz nehi pari agar wo be tahajjud mai ALLAH se kuch mange to ALLAH uski be dua qubul karte hai, ALLAH tala kehte hai agar tumne kabi acha kam nhi kiya magar tum har waqth dua mangte ho, ALLAH tala tumhara kuch dua dunya mai qubul kar lenge or kuch nehi, jin duae qubul nhi hui un duao ko qayamat k din ALLAH tala jab hisab karenge or ek palle mai apki nekiya or dua or ek palle mai gunah, ap dekhenge apka paka nekiyo ka palla bhari hai, jin duae qubul nehi ki dunya mai un dua apko jannat mai dakhil karenge, huzoor sallallahu alai wasallam k waqth huzoor ne kaha ap ALLAH se dua mai mange to sahabi kehne lage hame to telephone no mil gaya ALLAH se bat karne ka, _______________________________ ek dafa ek sahaba ne huzoor se farmaya, huzoor maine to apko dekha apse bat ki apke sat beth k khana khaya, kya humse ziada kush nasib or koi ho sakta hai, to huzoor ne farmaya ji ha apse be khusnasib mere ane wale ummat honge jo mujhpe yekin karenge mere batae hui rah par chalenge wo be mujhe bina dekhe, toh mere ummat, ummat e muhammadiya sabse kush nasib hai, kya apko is bat ki khushi nehi ke ap ummat e muhammadiya hai, _______________________________ har nabi ko kaha gaya ek offer diya gaya tha, ke ap dunya mai ya akhirat mai kesa be ek dua mang sakte hai or wo usi waqth qubul ho jaega, ye ALLAH ka vada hai, jab huzoor ke bete akhri saas le rahe the to aisha radi allahu tala anha ne farmaya har nabiyo ko ek dua esa diya gaya jismai ap jo be mange wo usi waqth qubul hoga, (us waqth huzoor ye mang sakte the ke mere bete ko ek or zindegi de diya jae, right magar huzoor ne ye nehi manga) huzoor ne farmaya ye dua mai ab nehi mangunga qayamat ke din mai dua mangunga apne ummat ke liye, huzoor hamse kitna pyar karte hai kya ham unse itna be pyar nehi karte ke unki batai hui rah par chale, ALLAH tala ne ummat e muhammadiya ko itni advantage diye hai, kya ap ALLAH se itna be pyar nehi karte ke unke hukum se 5 waqth ka namaz compulsory farmaya, ap wo be ada nehi kar sakte,
Posted on: Fri, 13 Sep 2013 03:10:15 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015