AQEEM US SALAT Subhan ALLAH,ab aik or dimension say ghor - TopicsExpress



          

AQEEM US SALAT Subhan ALLAH,ab aik or dimension say ghor karain.Pehli Takbeer or salam e aakhir tak hum dunya mein hotay huay bhi dunya ki taraf tawajjah nahi kartay sara dhyan ALLAH or USKI itaet/marzi ki taraf hota hay,kharay hotay hain jhuktay hain bethtay hain, woh sir jo har waqt baland rehta hai zameen per rakhdetay hain, bat(tilawat) kartay hain duaa mangtay hain, magar jo kuch bhi kartay hain sirf ALLAH say ya ALLAH kay liye kartay hain.Jab hamnay aankh kholi thi tau AAzan o Aqamat ki awaz hamaray kanon mein aai thi or jab aankh band hogi tau phir hamaray jism ko samnay rakhkar ALLAH O AKBAR ki sada baland hogi,AGAR AANKH KHULNAY OR BAND HONAY KAY DARMIYAN IS DUNYA MAY REHTAYHUAY HAMARA SUKOOT,HARKAT ,KHAMOSHI ,KALAM SIRF ALLAH KAY LIYE THA TAU HAMARI HAYAT SALAT HOGAI YANI HAMNAY NAMAZ QAIM KARDI ALHAMDOLILLAH . Yad rakhkho apni koshish ko sabit karna hamara kam hai.ALLAH itna KAREEM hai kay TAUBA kay bad guzashta ko bhula deta hai mita deta hai.REHMAN O RAHEEM hamaray amal ki ibteda ko inteha kay darjay per qubool karta hai .Hamara SHAFEE ALLAH ka Rasool (s a w w)or uskay Ahlabait a.s hain.
Posted on: Mon, 30 Sep 2013 10:43:02 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015