ARKANE ISLAAM ahadis e mafhom hazrat abdullah bin umar rji. Se - TopicsExpress



          

ARKANE ISLAAM ahadis e mafhom hazrat abdullah bin umar rji. Se riwayat hai ki nabi e kareem ( s.a.w. )ne eirshad farmaya ki islaam ki buniyaad panch chizo par rakhi gai hai 1 yah gawahi dena ki Allah ke siwa koi mabood nahi aur yah ki hazrat muhammad ( s.a.w. ) Allah ke bande aur usake rasoo hai, 2 namaz ka qayam karana, 3 zakaat dena 4 hajj karana 5 ramzaan ke roze rakhna. Mishkaat-muslim­-bukhari, IMAN. Is ahadis paak me panch chizo ko islaam ki buniyad farmaya hai pahli chiz iman hai aur iman ka matlab bhi isi ahadis paak me bata diya hai ki Allah ta.aala ko sachcha mabood aur aik akela yaqeen kare aur hazrat muhammad (s.a.w.) ko Allah ka banda aur paigambar yaqeenke sath jane aur samze , kalima taiyaba aur kalima shahadat me isi ikraar ka ailaan hai, jab hazrat (s.a.w.) jo Allah ka rasool man liya to unhone jin jin bato par yaqeen karne ko bataya hai, un sab ka yaqeen karna jaruri ho gaya ! Kalima taiyaba, LA ILA H ILLALLAHU MUHAMMADUR RASOOLULLAH (s.a.w.) Allah ke siwa koi mabood nahi, muhammad (s.a.w.) Allah ke rasool hai, Kalima tauheed, ASHHADU ALLA ILA H ILLALLAHU W ASHHADU ANN MUHAMMADAN ABDUHU WRASOOLUHU, Mai gawahi deta hu ki Allah ke siwa koi mabood nahi aur gawahi deta hu ki hazrat muhammad (s.a.w.) Allah ke bande aur usake rasool hai, In dono kalimo ka matlab yahi hai ki Allah ta aala sachcha mabood hai aur hazrat muhammad (s.a.w.) usake sachche rasool hai, unake tarike par chalana qamyabi aurnizaat hai, unhone jo akide irshad farmaye hai, un akido ka manna farz hai, ahadis e mafhom aik ahadis me hai aik aadami ne hazrat muhammad (s.a.w) se arj kiya ki aap muze bata de ki iman kya hai, aapne jawaab me farmaya- iman yah hai ki tu iman lawe Allah paraur usake farishto par aur usaki kitabo par aur usake paigambaro par aur aakhirat ke din par aur achchi - buri takdeer par, Mishkaat, IMANE MUFASSAL, imane mufassal me inhi bato ka is tarah ikraar karte hai, AAMANTU BILLAHI W MALAIAKTIHI W KUTUBIHI W RASOLIHI WAL YAUMIL AAKHIRI WAL QADRI KHAIRIHI W SHARRIHI MINALLAHI TA AALA WAL BA,SI BA,DAL MAUTI, Mai iman laya Allah par aur us ke farishto par aur us ki kitaabo par aur us ke rasoolo par aur aakhirat ke din par aur is par ki achchi-buri takdeer Allah ki taraf se hai aur maut ke bad jinda hone par, IMANE MUZMAL. AAMANTU BILLAHI KAMA HU-W BIASMAEIHI W SIFATIHI W KABI-LTU ZAMI-A AHAKAMIHI, Mai iman laya Allah par jaisa ki wah apane namo aur sifato ke sath hai aurmai us ke sab huqm kubool kiye , hazrat muhammad (s.a.w.) ne jo kuchbhi farmaya aur bataya sab haqq hai us ka manna jaruri aur farz hai, Share kare.... INSHAALLAH AGALI POSHT NAMAZ PARKARGE ISI TARHA ZAQAT HAJJ RAMZAAN PAR. ALLAH PAAK UMMAT-E-MUHAMMA­DIYA KO SIROTALMUSTQEEM­ PAR CHALAYE.....Aam­een SHAHID
Posted on: Fri, 19 Jul 2013 23:10:41 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015