ASSALAAM U ALAIKUM WARAHEMATULLAHI - TopicsExpress



          

ASSALAAM U ALAIKUM WARAHEMATULLAHI WABARAKATAU BISMILLAH-HiRRA-HMAN­-NIRRAHIM (Sura-e-Baqara Madina mai Nazil hui, is mai doso-cheyasi (286) Aayatain hain) 02.266Kiya tum mein say koi yeh bhi chahata hai kay uss ka khujooron aur angooron ka baagh ho jiss mein nehren beh rahi hon aur her qisam kay phal mojood hon uss shaks ka burhapa aagaya ho uss kay nannhay nannhay say bachay bhi hon aur achanak baagh ko bagoola lag jaye jiss mein aag bhi ho pus woh baagh jal jaye issi tarah Allah Taalaa tumhara liye aayaten biyan kerta hai takay tum ghor-o-fikar kero. 02.267Aey eman walo! Apni pakeeza kamaee mein say aur zamin mein say tumharay liye humari nikali hui cheezon mein kharach kero inn mein say buri cheezon kay kharach kerney ka qasad na kerna jissay tum khud lenay walay nahi ho haan agar aankhen band ker lo to aur jaan lo kay Allah Taalaa bey perwah aur khoobiyon wala hai. 02.268Shetan tumhen faqeeri say dhamkata hai aur bey hayaee ka hukum deta hai aur Allah Taalaa tum say apni bakshish aur fazal ka wada kerta hai Allah Taalaa wusat wala aur ilm wala hai. 02.269Woh jissay chahaye hikmat aur danaee deta hai aur jo shaks hikmat aur samajh diya jaye woh boht sari bhalaee diya gaya aur naseehat sirf aqal mand hi hasil kertay hain. 02.270Tum jitna kuch kharach kero yani kheyraat aur jo kuch naza maano ussay Allah Taalaa bakhoobi janta hai aur zalimon ka koi madadgar nahi.
Posted on: Wed, 02 Oct 2013 19:42:55 +0000

Trending Topics



>

Recently Viewed Topics




© 2015