Aaj kay daur mein bharat, pakistan, bangladesh aur kai aise desh - TopicsExpress



          

Aaj kay daur mein bharat, pakistan, bangladesh aur kai aise desh hai jo dusre desh ke mukable bahut garib hai. Aur yahan ke 70 aabadi garib hai aur use din mein do waqt ki roti bhi badi mushkil se milti hai. Aur in sabi deshon ki aabadi bhi itni jyada hai ki unki sarkar unke liye jyada sevaye bhi nahi de paty kyon ki woh sabhi desh jyada garib hai. Aur jo seva sarkar deti hai use ghuskhor milke aapas mein baant lete hai aur janta ke hath kuch bhi nahi aata. Aisi halat mein ek aam aadmi kare toh kya kare aur jaye to kaha jaye. Aur upar se in sabhi desho me ghus, lalach aur ghotale bhi jyada hoti hai inke karan garib aur bhi garib hota jata hai, aur dhanwan aur dhanik ban jata. In deshon mein kai sare chote chote gaon hai jaha pani, bijli aur raste jesi koi suvidha kabhi mili hi nahi. Aisi halat mein ek aam aadmi kya kya sakta hai. Aur in sabhi samasya ke chalte un desho ka vikas ruk jata hai aur desh jyada se jyada garib banta hi jata hai.
Posted on: Wed, 14 Aug 2013 07:52:39 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015