Aajkal ki generation ke liye yeh post.. . Zina ka - TopicsExpress



          

Aajkal ki generation ke liye yeh post.. . Zina ka Azaab: . Zina: Ek mard Ek aisi Aurat se Sohbat/Humbistari kare jiska uske sath Nikah na hua ho,usey zina kehte hain. . Aaqa Alayhissalam ne farmaya: Shirk ke bad Allah ke Najdik is gunah se bada koi gunah nahi ke ek shaks kisi aurat se Sohbat kare jo uski Biwi Nahi Aur Jab koi Mard Aur Aurat jina karta he to imaan unke sine se nikal kar sar par saye ki tarah thahar jata hai. . (Mukasheftul kuloob safa: 168) . . Hazrat ikrema ne Hazrat Abdullah ibne Abbas Radiallahu anhu se pucha, imaan kis tarah nikal jata he? Hazrat Abdullah ibne Abbas ne farmaya is tarah ! Aur apne hath ki ungliya dusre hath ki ungliyo me dali fir nikal li aur farmaya Dekho is tarah . (Bukhari sharif Jild:3, Safa: 614, Hadees: 1713) . . Hazrat Abuhuraira wa Ibne Abbas Radiallahu anu se rivayat hai, Sakar-E-do aalam Sallalahu Alayhi Wasallam ne farmaya Momin hote hue tuo koi Zina kar hi nahi sakta . (Bukhari Sharif,Jild:3,Safa:614,Hadees: 1714) . . Zina ki Saja Aur Azaab: Hazrat Musa Alayhissalam ne Rab taala ki bargah me jub Zina ki saja puchi to Allah ne farmaya: Use Aag ki Jarrah pahnaunga (Lohe ka libas jo aag se bana hoga) Woh Aisi wajani he ki Agar bahut Bade pahad par rakh di jaye to wo bhi reja reja ho jaye . (Mukasheftul Kuloob Safa: 168) . . Allah Taala faramata he Jo shaks Zina karta he use Asaam me dala jayega, (Qurane Kareem Para 19, Sure Furkan Aayat 68) Asaam ke bare me Ulma-E- Deen ne kaha he ki wo Jahannam ka 1 Gaar he jab uska Munh khola jayega tuo uski Badbu se tamam jahannami chikh uthenge. . (Mukasheftul Kuloob Safa: 167) . . 7 Aasman aur 7 Jamino aur Pahad Zinakar par lanat bhejte he aur Qayamat ke din Zinakar Mard wa Aurat ki Sharmgah se is kadar badbu aati hogi ke Jahannam me jalanewale ko bhi is badbu se taklif hogi . (Bahare Shariat Safa:43) . . Zina karnewale shadi shuda ho to khule Maidan me Pattharo se mar dala jaye aur Gair shadi shuda (Kunwara) ho to 100 kode mare jaye . (Bukhari Sharif Jild Safa:615/615, Hadees:1715)
Posted on: Wed, 04 Dec 2013 06:36:19 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015