Aao tumhe main le ke chalun, un bhooli bisri yaadon me is bhag - TopicsExpress



          

Aao tumhe main le ke chalun, un bhooli bisri yaadon me is bhag daud se door kahin, bachpan ki un baaton me tension ka jahaan naam nahi, or maarna masti din bhar mummy roj daatati fir bhi, pahunchana dress gandi karke ghar kal pet dard, aaj kaan dard, ab kal toh hai mama ke jaana home work poora kiya nahi, fir khojna roj naya bahaana recess me khelne ke liye, periods me hi poora lunch kha jana chhupam chhupai khelne ke waqt, baar-2 dame khud par hi aana pachaas paise ki pocket money bhi, lagti thi jaise apaar aajkal toh kam hai padte, chahe jeb me pachaas hajaar Aao tumhe main le ke chalun, un bhooli bisri yaadon me is bhag daud se door kahin, bachpan ki un baaton me khareedate hain nayi dress aj hum, jab bhi ho jana bazaar woh din or the jab hota tha, nayi dress ke liye diwali ka intzaar brands ki is duniya me, kise chune, kon hai behtar par sardi me sabse achha, woh mummy ke haath ka buna sweater chaubees ghante nonstop music, sunkar ab hote hain bore, adhe ghante ke chitrahaar ka, jab maja hi tha kuchh or aaj poora cartoon network bhi, nahi man mera bahla sakta woh sunday ka din or main, He-man or Mogli ki rah takta cable ka jamaana nahi tha, hota tha mohalle me ek hi TV invitation aata tha us ghar se, jab bhi VCR pe lagti movie chacha chaudhary billu or pinky se, thi apni aisi dosti ki chhuttiyan aatey hi unse milne ko, lag jati jaise daud si Aao tumhe main le ke chalun, un bhooli bisri yaadon me is bhag daud se door kahin, bachpan ki un baaton me road par bajri ka dher, ab hamein jo gandagi hai lagta banate the gharonde us mitti me, jab pados me koi makaan tha banta baarish me bheegne ka maja, lete the doston ke saath aaj bheegne ka darr itna ki, baarish me nikaalte ek hi haath woh pehli cycle life ki, lagti thi humko kitni pyari jo proud feel karte the uspe, aaj nahi woh hone par bhi gaadi woh summer vacation me, jana mama ke ghar har saal or July me school khulne par, hona fir se wahi bura haal aj internet pe padte hain jokes, novels me milti kahaani woh kahaani hain aaj bhi yaad, joh sunte the dadaji ki zubaani maarte thahake the pahle jahaan, un chhoti-2 baaton pe aaj taraste hain dekhne ko, chhoti si ek muskaan hothon pe Aao tumhe main le ke chalun, un bhooli bisri yaadon me is bhag daud se door kahin, bachpan ki un baaton me Aaj sochta hun mai yahaan, ki laut ke aa jayen woh din kyun bada hota hain insaan, kyun nahi rahta hamesha woh bachpan na koi soch, na koi tension, naa hi jivan ki koi uljhan simple plain ek life ho, umar chahe fir ho jaye pachpan milega mauka woh din fir jeene ko, ab kahta hai yahi mera mann suna hai maine ki budhape me, fir se laut aata hai bachpan *******************************************************************
Posted on: Fri, 25 Oct 2013 17:05:12 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015