Aay Rubbay Jahan Punjtan e Pak Ka Sadqa Lyrics Ae Rabbe jahan - TopicsExpress



          

Aay Rubbay Jahan Punjtan e Pak Ka Sadqa Lyrics Ae Rabbe jahan punjtan e paak ka sadqa Iss qoum ka daman gham e shabir say bhar day. Bachoon ko aata ker Ali Asghar ka tabassum Burhoon ko Habib Ibn e Mazahir ki nazar day. Kamsin ko milay walwalaye auno Muhammad Har eik jawan ko Ali Akbar ka jigar day. Maoon ko sikha saniy e Zahra ka saliqa Behnoon ko Sakina ki dua’oon ka asar day. Maula tujhay Zainab ki asiri ki qasam hai Bay jurm asiroon ko rahai ki khabar day. Jo chadar e Zainab ki azadar hain mola Mehfooz rahein aisi khawateen kay parday. Jo deen kay kam aayein woh aulad aata ker Jo majlisay Shabir ki khatir ho woh ghar day. Muflis pay zaro lal jawahir ki ho barish Maqrooz ka har karz ada ghaib say ker day. Gham koi na day humko siwa e gham e Shabir Shabir ka gham bant raha hai to idhar dey. Aie Rab e jahan panjtan e pak ka sadqa Is kom ka daman gham e shabir say bhar day.
Posted on: Sun, 04 Aug 2013 04:59:07 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015