Ab kabhi nahi ayega apke ghar taar(TELIGRAM) Taar ki subidha san - TopicsExpress



          

Ab kabhi nahi ayega apke ghar taar(TELIGRAM) Taar ki subidha san 1850 me shuru hui thi. Bharat me sabse pahle taar ki subidha KOLKATA se daymond harber ke beech prayogik taur par 1850 me shuru hui thi. Agle saal british east india compani ne iska istemal shuru kiya. 1854 me isey aam janta ke liye khol diya gaya. 14 july 2013 ko aadhi raat se kewal 15 minut pahle yani ki 11:45 baje aakhiri taar ke jariye kangres ke upadhyaksh RAHUL GANDHI ko sandesh bheja gaya. Teligram ka counter 11:45 baje band huaa aur 68,837Rs. ka rajasva arjit kiya gaya. Iske sath hi BHARAT me peedhiyon se chali aa rahi achchhi buri khabar ke liye lokpriy TAAR sewa puri tarah band ho gayi ! ALVIDA TAAR SEWA !
Posted on: Mon, 15 Jul 2013 18:35:44 +0000

Trending Topics



going-to-be-topic-914090555271250">So pleased to be a part of this amazing event. This is going to be
Right! I recently tried the tarrago red dye for leather, pleather
Marriage is the highest and holiest relationship God give us in

Recently Viewed Topics




© 2015