Achhi batein.... 1) Rishton ki asal khubsurti ek doosray ke baat - TopicsExpress



          

Achhi batein.... 1) Rishton ki asal khubsurti ek doosray ke baat ko bardasht karna hain. 2) Be aeb Insaan ko talash mat karo warna akele reh jaogay. 3) Jab kisi kaam ka irada karo to uska anjaam soch lo, agar iska anjaam acha ho to karlo,aur agar anjaam bura ho to usse ruk jao...! 4) Kisi sey naraazgi ka waqt itna taweel na rakho ke wo tumhaare bagair hi jeena seekh jaye. 5) Namaz ki haalat mein aankhen band karna makrooh hain. Namaz mein jab qayam par ho to nazrein sajde ki jagah rakho , jab rukoo karo to paon ke darmiyan dekho , jab sajda karo to naak ki samt mein aur jab baeth jao to nazaren jholi mein honi chahiye, Aur jab salam phero to dono kandhon ko dekho. 6) Paedaish Ke Waqt Azan Di Jati Hain. Magar Namaz Nahi Padhi Jati. Aur Maut Ke Waqt Namaz Padhi Jati Hain Magar AZAN Nahi Di Jati. Toh phir Zindagi Kya hainn ? SIRF AZAAN SE NAMAZ TAK KA WAQT HAINN. 7) Jo shakhs ALLAH se darta hain woh kabhi kisi se badla nahi leta. Hasad karne wala apni maut se pehle hi mar jaata hainn. 9) Kisi par Etaymaad na karo, jab tak usey ghussey mein na dekhlo. 10) ALLAH dey kar bhi aazmata hay aur ley kar bhi, Ghareeb aadmi roti ke liye daudta hain aur Ameer roti hazam karne ke liye. 11) Gunah mein Lazzat hoti hain Sukoon nahi. 12) Baat Alfaaz ki nahi lehje ki hotihain, kisi ke barey mein bura mat soncho, ho sakta hain wo ALLAH ki nazar me tumse behtar ho. 13) Koi Gunah Lazzat ke liye mat karna kyuke Lazzat khatam ho jayegi aur Gunah baqi rahega AUR KOI NEKI takleef ki wajah sa mat Chodoh kyon ki takleef khatam ho jaeegi aur neki baqi rahegi.
Posted on: Thu, 01 Aug 2013 10:47:43 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015