Ajab junoon E musafat meN ghar se nikla tha Khabar nahiN hia K - TopicsExpress



          

Ajab junoon E musafat meN ghar se nikla tha Khabar nahiN hia K suraj kidhar se nikla tha Ye kaun phir se unhiN raastoN meN chhoR gaya Abhi abhi to azaab E safar se nikla tha Yeh teer dil meN magar be sabab nahi utraa Koi to harf lab E chaaraagar se nikla tha Yeh ab jo aag bana shahr shahr phaila hai Yahi dhuaaN mere deewar O dar se nikla tha MaiN raat toot k royaa to chain se soyaa K dil ka zahr mere chashm E tar se nikla tha Ye ab jo sar haiN Khamidaa, kulaah ki khatir Ye aib bhi to hum ahl E hunar se nikla tha Wo Qais ab jise majnuN pukaarte haiN ‘Faraz’ Teri tarah koi deewaanaa ghar se nikla tha
Posted on: Thu, 05 Sep 2013 08:44:46 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015