Aksar bahot se bhai shikayat kare hain ki bharat ke muslim har - TopicsExpress



          

Aksar bahot se bhai shikayat kare hain ki bharat ke muslim har tarah ki be-imani, jhoot, loot, chori, dhokha-dhadi aur hinsa me lipt rahte hain aur bharat ka bantadhaar kr daalte hain waise to aisi kaun si dharm aur jati ke log hain bharat me jo bhrashtachar aur apraadh me lipt na rahte hon ? lekin jahan tak bharat ke muslimo ki baat hai to han ye sach hai ki aaj ke zyadatar bharateey muslim bhi gunaho se paak nahi hain Jab mai apne logo ki is giri hui halat ke bare me sochta hu to yahi pata hu ki bharat ka zyadatar muslim isiliye bura hai kyunki wo shariat se door hai, aur dunia ki reet pe chalkar “Jahan sach na chale wahan jhoot sahi, jahan haq na mile wahan loot sahi” ki mansikta ka shikar bana rahta hai aur isi mansikta ke chalte har bura kam krta chala jata hai Jabki Islam hame kisi bhi maamle me had paar ho jaane ke pahle tak har zulm aur na-insafi ko sabr aur Sabit kadmi ( Satya Nishtha ) se bardasht krne ki taaleem deta hai, duniya chahe jitni be-imaniyan kr le, lekin ek Musalman ko hamesha Sach aur imandari pe kayam rahna chahiye.... Agar musalman Shariyat pe kayam hota to fir kisi ko bhi musalmano se koi shikayat na hoti ! Lekin musalmano ke Islami Shariat se door hone ke peechhe kuch to Bharateey musalmano ki rahnumaai krne wale galat log zimmedar hain to kaafi kuch Islami shariat ke khilaf ghair muslim duniya ka dushprachar zimmedar hai jis wajah se kam jankar muslim shariat se kinara kr ke apne aas paas ke samaj ke chalan ke mutabik khud ko dhaal lete hain To mai to yahi salah dunga un sab logo ko jinhe musalmano ke galat kaamo se problem hai, ki aap sab in muslimo ko inki shariat ki taraf jhukaaiye, inki shariat ke kanun inhe suna suna ke inhe galat kamo se rokiye . ye log tabhi sudhrenge . lekin agar aap inki shariat ke kanuno ko tod marod ke bura bana ke sunaaoge to ye be-akl log usy he sach maan kr aap pe he un galat niyamo ka istemal krne lagenge :) Admin: 03
Posted on: Fri, 09 Aug 2013 16:38:41 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015