Al Quran : Neki aur parhaizgaari ke kaamo mein ek dusrey ki madad - TopicsExpress



          

Al Quran : Neki aur parhaizgaari ke kaamo mein ek dusrey ki madad kiya karo aur gunaah aur zulm ki baaton mein madad na karo, aur allah se daro beshaq Allah ka azab sakht hai Surah Al-Maeda (5) Aayah 2 Al Quran: Jo Shaksh Neik baat ki sifarish karey to usko us (ke sawab) mein se Hissa milega, aur Jo buri baat ki sifarish karega usko us(ke Azab) mein se Hissa milega, Aur Allah har cheez par Kudrat rakhta hai Al Quran:Surah-An-Nisa(4),Aayah 85 Hadith: Abu Hurairah Radi allaho anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shkash hidayat (neik kaam) ki taraf bulaye usey hidayat par chalney walon ka bhi sawab milega aur chalney walon ka sawab kuch kam na hoga aur jo shaksh gumraahi (gunaah) ki taraf bulaye usko gunah par chalney walon ka bhi gunaah hoga aur chalney walon ka gunaah kuch kam na hoga Sahih Muslim , 6804
Posted on: Sat, 10 Aug 2013 14:46:59 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015