Al Salamu Aaikum Warahmatullahi Wabarakaatuh. (SARAY UMMAT KE - TopicsExpress



          

Al Salamu Aaikum Warahmatullahi Wabarakaatuh. (SARAY UMMAT KE MUSALMANO KE LIYE EK AHAM PAIGHAM) AAJ KAL MAIN YE DEKH RAHA HOON KE LOG AHADEETH KA BARA MAZAQ URATE HAIN, MASLAN BAAAT APNI LIKHTE HAIN YA KISI ALIM KA QAUL YA KUCH BHI LIKHTE HAIN AUR LAST MEIN (HADEETH) KA LABLE LAGA DETE HAIN AUR PHIR LOG HADEETH DEKH KAR QUBOOL BHI KARTE HAIN.. BALKE BAAZ KHANNAS BAGHAIRAT AISE BHI HAIN JO HADEETH KA HAWALA BHI LIKH DETE HAIN KE FALAAN FALAAN BOOK MEIN FALAAN NUMBER HADEETH NAUZU BILLAH AB TO BAAAZ LOG IS TARAH KI GHATIYA HARKAAT KARTE HAIN KE WO HADEETH KO TOR MAROR KE APNE ALFAZ ADD KAR KAY YA HADEETH KE SAHEEH ALFAZ KO NIKAL KAR HADEETH PESH KAR RAHE HAIN AUR KHAAS TAUR PAR YE KAAM WO LOG KARRAHE HAIN JO SIRF QURAN KO MANTE HAIN AHLE-QURAN BALKE YE AHLE QURAN BHI KAHNE KE MUSTAHIQ NAHI HAIN Q K QURAN HI AHADEETH AUR SUNNAT KA HUQM DETA HAI, IN KO MUNKIREENE HADEETH KAHNA HI THEEK HOGA. BAHR HAAL AAJ TO SHARM ATI HAI KE WAHI GIRI HUI HARKATEN AHLE SUNNAT KAHLWANE WALE HAZRAT BHI KARRAHE HAIN JIN MEIN DEOBANDI, BARELVI AUR AHLE HADEETH HAZRAT SHAMILBHAIN, AKSAR YE CHEEZ MGAR AKSAR YE CHEEZ.DEOBANDI AUR BARELVI HAZRAT KI SAMNE ARAHI HAI JO KHUD KO *HANAFI* KAHLATE HAIN. * MISAAL* AAJ KAL YE HADEETH BHI MANZARE AAM PAR HAI. IS HADEETH MEIN JO REF DIYA GAYA HAI WO BILKUL GHALAT HAI 2540 SE LEKER 2550 TAK KOI BHI HADEETH IS SAY MILTI JULTI BHI NAHI HAI BALKE WO TO SAHABA KE FAZAIL WALI KITAAB HI NAHI HAI. KAHA JATA HAI KE YE HADEETH IMAM ABU.HANEEFA KE BARAY MEIN HAI HALANKE IMAM ABU HANEEFA R.HULLAH KA IS SAY KOI TALLUQ NAHI HAI. BALKE SOCHNE KI BAAT HAI BHAEE IMAM MUSLIM R. HULLAH JAB YE HADEETH FAZAILE SAHABA MEIN LAYE HAIN TO YE HADEETH SAHAB KI FAZEELAT SE MUTALLIQ HOGI YA KISI TABA TABIEW KE FAZAIL MEIN...??! ASAL MEIN YE HADEETH HAZRAT SALMAN FARSI KE BARAY MEIN HAI, AUR WAHI FAZAILE SAHABA MEIN HADEETH NUMBER HAI 6498..ASAL HADEETH MEIN FARIS PARIS KA ZIKR TAK NAHI HAI. AP KHUD HI HADEETH KO PARH KAR SAMAJH KAR AUR UN JHOOTON KI BAAT PARH KAR FARQ KA ANDAZA LAGA LEN. AP SAB SE GUZARISH HAI KE JAB KOI SHAKHS HADEETH KA NAAM LE TO USSAY HAWALA ZAROOE MANGAYN AUR PHIR KHUD SE PARHEN SAMJHEN AUR ALIM SE RAYE LEN KE YE HADEETH KIS BARAY MEIN HAI PHIR AGAY LOGN TAK PAHONCHANE KA FAISLA KAREN Q K ALLAH NE QURAN MEIN MUSALMANO KO YAHI SIKHAYA HAI. ((AYE EIMAN WALON ! AGAR TUMHARE PAS KOI FASIQ SHAKHS KHABAR LEKAR AYE TO KHOOB TAHQEEQ KAR LIYA KARO (AISA NA HO) KE TUM KISI QAUM KO LA ILMI MEIN NAHUQ TAKEEF PAHONCHA BAITHO PHIR TUM APNE KIYE PAR PACHTATE RAH JAO.)) SAHEEH HADEETH COMMENT MEIN DEKHEN..
Posted on: Tue, 21 Oct 2014 10:59:41 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015