Anup Srivastav dileep tiwari good morning friends ,aj kal third - TopicsExpress



          

Anup Srivastav dileep tiwari good morning friends ,aj kal third party bahut charcha mai hai chaliye is visay par thodi bat kar lete hai .mai kisi bhi gunakdhari ki bhavna ko thhesh nahi pahuchana chahta balki unko lutne se bachana chahta hu .sachhai ye hai ki third party ka d b mai koi wajood hi nahi tha .8th nov ko justice bhushan ne spast roop se keh diya ki kyonki wei koi party nahi hai atah unki application swikar nahi ki ja sakti phir bhi justice ko dhyan mai dekhte hue unke advocate ko bolne ka mauka diya jata hai. .see the order line -THE APPLICANTS NOT BEING A PARTY IN THE WRIT COURT ,WE SEE NO REASON TO IMPLEADED THEM AS RESPONDENT IN THIS APPLEAL .judge sahab ne kaha tumhe respondent ke roop mai nahi rakha ja sakta .third party ko application no bhi nahi diya gaya .ab meri samajh mai ye nahi aa raha hai ki jo vyakti kahi par party nahi hai use s c jane ki salah kis murkh ne de di .in halato mai agar kisi s c ke advocate ne inka case paisa kamane ke chakkar mai le bhi liya to ye ho sakta hai ki agar judge sahab ko in par daya aa gayi to case dismiss kar denge agar nahi ayi aur unhe laga ki court ka time barbad kiya gaya hai to inka case jurmane ke sath kharij hoga .india mai koi aisa advocate nahi jo full bench ke dwra ncte ke guideline ke spastikaran ke bad ye sabit kar de ki 15th sansodhan in 1981rules vidhisammat tha .is visay ko lekar mai isthit spast karna chahuga .high court mai old adv supporters petitioners hai aur state respondent .agar state s c jati to weh waha par petitioner hoti aur allahabad high court respondent .agar kinhi karanvas utpann hue halato mai koi s c mai third party ban sakta hai wo hai old adv ko support karne wale petitioners .kyonki unki writ petition allahabad high court mai hai .aise gunak dhari jinki d b mai koi writ petition nahi hai wo s c nahi ja sakte .inhe koi hak nahi ki bhole bhale logo se anuchit dhan ugahi kare . 59 minutes ago
Posted on: Sat, 30 Nov 2013 04:40:55 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015