April Fool Kya Hai? 1 April Ko Kafiron Ne Spain K Hazaro Momino Ko - TopicsExpress



          

April Fool Kya Hai? 1 April Ko Kafiron Ne Spain K Hazaro Momino Ko Dhoke Se Shaheed Kar Diya Tha.. Tab Se Ye Manaya Jata Hai.. 8,Shawwal Hijri 1345[21 april 1925] ko Jannatul Baqi [MADINASHARIF] k Tamam Mazaraat Ko Wahabi King Ibne Saaud Ne Munhadim [DEMOLISHED] kiya Tha... April Fool Me 4 Bade Gunah Hain Inse Bacho: 1-Juth Bolna 2-Dhoka Dena 3-Dusro Ko Taklif Pohunchana 4-Gair Qaum Se Musabahat.. April Fool (Jhooth Bolna Gunahe Kabirah) Jhoot bolne wale parAllah Paakki laanat hoti hai. (Surah:Al Imran, Surah No:3, Aayat No.61) Har saal 1April ko April fool manaya jata hai, Sawal ye paida hota hai”. (1) Kya ham samajhte hai jhootbolna acchi adat hai? (2) Kya ham pasnd karte hai ke koi ham se jhoot bole? (3) Kya ham me se koi pasnd karta hai ke us ka mazakh udaya jaye? Yaqinan ham jhoot ko accha nahi samajhte nahi kisi ka mazakh udana hamare nazdeek koi pasndida harkat hai aur nahi Ham khud apne liye aisa chahte hai to Phir AprilFool kaise mana sakte hai Jo Jhoot bolkar doosron ko bewaqoof banana aur unka Mazakh udane ka din hai. Allah Paak Irshad Farmata hai –“Aye Iman walon! Mard doosre Mardon ka Mazaq na udayen Mumkin hai ke ye un se behter ho aur na Aaorten Aaorton ka Mazaq udayen Mumkin hai ke ye un se behter ho, aur Aaps me ek doosre ko Aaib na Lagao, Aur na kisi ko Bure Laqab do, Iman ke baad Fusq bura Naam hai, Aur jo tauba na karen wahi Zalim log hai. (Surah: Al-Hujrat, Surah No:49, Aayat No:11) (1) Na mazakh banaye aur na mazakh ka nishana baniye. (2) Na jhoot boliye aur na kisi ke jhoot me shamil hoye. (3) Apne akhlaq-o-aamal ki khoobsurti ko duniya ke samne layen ta ke wo jaan saken ke aap kitne shandar deen ke Numayinda hain. (1) Rasulullah Sallallaho Alaihe WaSallam Ne Farmaya – “Jis ne kisiqoum ki mushabihat ikhtiyar ki wo unhi me se hai. (Bukhari Sharif). Kisi ko Fool(Bewaquf) banana ek Qabeeh(Buri) harkat hoti hai, Jhoot bole bagair kisi ko bewaqoof nahi banaya ja sakta aur ek Musalman ko Jhoot zeba nahi deta. (2) Rasulullah Sallallaho Alahe WaSallam Ne Farmaya - “Halakat hai us shaksh ke liye jo logon ko hansane ke liye jhoot bole, uske liye halakat hai, us ke liye halakat hai. (Abu dawood, Tirmizi). (1) Yaad rahe! Musalman wo hai jo apne bhai ke liye wahi pasand karta hai jo apne liye pasnd karta hai, jab ham apne liye jhoot aur mazakh pasand nahi karte to phir kisi doosre keliye kaise kar sakte hai?. Aur Jhoot bolna Gunah-e-Kabirah hai... Gunah se TAUBA karna Wajib hai magar Gunah se bachna Zyada Wajib hai. (HAZRAT ABUBAKR RADIYALLAHU ANHU) TAUBA ki taklef se behter hai k Gunah kiya hi na jaye. (HAZRAT UMAR RADIYALLAHU ANHU) Gunah kisi na kisi surat dil ko pareshan rakhta hai. (HAZRAT USMAN RADIYALLAHU ANHU) Sab se bara gunah wo hai jo karne wale ki nazar me chhota ho. (HAZRAT ALI RADIYALLAHU ANHU) “Allah” K Khof Se Srif 1 Gunah Chor Dena 1 Lakh Tahajjud Nafil Namaz Se Barh Kar Hai... Allah Har Musalman Ko Is Se Mehfooz Rakkhe... Aameeen..! Plz Like & Share
Posted on: Wed, 31 Jul 2013 11:04:53 +0000

Trending Topics



div class="stbody" style="min-height:30px;">
Moses Finds a Home - Quranic Almighty Allah said:
Tom and I are so thankful for our wonderful life together. We are

Recently Viewed Topics




© 2015