Assalam walaikum wa rahmatullah, hamare pyaare Rasool Muhammad - TopicsExpress



          

Assalam walaikum wa rahmatullah, hamare pyaare Rasool Muhammad (s.a.w.s.) ki biwiyaan hamaari maaen hain, Ummul momineen. ek bar Nabi (s.a.w.s.) kisi gazwah (jung) se wapasi farma rahe the. Ummul momineen hazrat Aaishah (r.a.) un k saath theen. raat ka kuch hissa baaqi tha , jab waapsi tai hui. Maa Aaisha(r.a.) haajat k liye ruk gaeen aur wapas jab qayaam k qareeb poncheen, to dekha un ka haar (necklace) toot k kaheen gir gaya hai. wo dobara jaa kar usko talaash karne me lag gaeen , aur itne me kaafila rawana ho gaya. (us waqt qaaedah ye tha k kooch k waqt wo jaa k apne hoode me baith jaateen aur 4 aadmi mil kar hoodah utha kar oont par rakh dete. Maa aaishah r.a. us waqt halki-phulki theen, isi liye un logon ko samjha hi nahi k wo hoode me nahi hain, aur un 4 aadmiyon ne khaali hoodah hi utha kar oont par rakh diya.) jab Maa Aaishah ne dekha kaafila chala gaya hai to wo waheen apni chadar odh kar lait gaeen, ye soch kar k wo log jab mujhe nahi paaenge to khud hi dhoodte hue aa jaaenge. isi haalat me un ki aankh lag gai. jab subah hui to hazrat Safwaan wahan se guzre (unko der tak sone ki aadat thi, wo bhi kaafile se choot gae the.), wo dekhte hi Maa Aaishah r.a. ko pehchaan gae. (parde ka hukm aane se pehle wo unko kai bar dekh chuke the.) Maa Aaishah r.a. ko dekh kar unho ne apna oont rok liya aur kaha إِنَّا لِلّهِ وَإِنَّـا إِلَيْهِ رَاجِعونَ, hazrat Aaishah ki , un ki awaz se jab aankh khuli , to unho ne fauran chadar apne munh par daal li. hazrat Safwaan ne oont maa Aaishah k paas laa kar khada kar diya aur khud alag hat kar khade ho gae. wo oont par sawaar ho gaeen aur hazrat Safwaan nakeel pakad kar rawana ho gae. phir dopaher tak ye dono lashkar tak pohonch gae. ye dekh kar munaafiq behuda baaten banana lage, maa Aaisha r.a. k baare me. ek maheene tak ye charcha raha. Maa Aaisha r.a. ko kuch bhi maaloom na tha. Nabi (s.a.w.s.) ne bhi suna par kuch nahi kaha, par dil me dukhi rehne lage. jab Maa Aaishah r.a. ne suna to unko bohot sadma hua ,(kaleja kat jata hai, ye likhte hue), teen din tak rote rote unho ne dam na liya. tab Allah Subhana wa Tala ne Maa Aaishah r.a. ki be- gunaahi naazil farmaai. ( Surah Noor, ayat 11 se 21 tak). aisi theen hamari Maa Aaishah Siddiquah r.a. , jinki paaki ki gawaahi Khud Allah (S.W.T.) ne di. Alhamdulillah. Khuda-na-khwasta hamari apni maa k liye agar koi aisi baat keh de to ham gusse me aape se bahar ho jaaenege. jab ham ye qissa sunte hain , ya Quran ki in aayaton ko padhte hain to Maa Aaishah k liye hamara dil isi tarah rona chahiye, isi tarah hamko gussa ana chahiye, munaafiqon par. kyun k Aap (s.a.w.s.) ki biwiyaan hamari maaen hain. sab musalmano ki maaen. SubhanAllah!
Posted on: Tue, 08 Jul 2014 20:34:04 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015