,*Assalamu Alaikum* Musalmano ki History utha kar dekhe to - TopicsExpress



          

,*Assalamu Alaikum* Musalmano ki History utha kar dekhe to har tarah ki Izzat aur Daulat aur Hukumat Musalmano ke paas rahi hain. Musalmaan Izzat aur Hukumat ke Waris aur logo ki nazar me Pasandida rahe hain. . To phir aakhir aisi kya wajah hui jiske tahat Aaj Musalmaan aisi buri Halat aur Pasti me ghira hua hai? Har tarah ki Zillat, Mohtaaji, Garibi, Gandgi, Jahalat Musalmano ke Ilaaqo aur Bastiyon me dekhi ja sakti hain. Aisa kyo ho gaya? Jis Qaum ne logo ko jeene ka Tariqa sikhaya wo Aaj khud Mohtajo ki Zindgi Guzar rahi hai. Dosto iski sirf ek he Wajah hai ki hamne apne Rab ka Hukum manna Chod diya. Hamare Rab ne is Ummat ki Tareef Paise, Daulat aur Hukumat ki wajah se nahi ki thi balki Hamare Rab ne kaha tha ki""TUM BEHTARIN UMMAT HO JO LOGO KE LIYE PAIDA KI GAYI HAI. TUM ACHCHE KAMO KA HUKUM KARTE HO AUR BURAI SE ROKTE HO"Surah Al Imran: 110 Is Ayat per Ager Gaur kare to Wajah sirf aur sirf ye Nikalti hai ki humne DAWAT KA Azeem kaam karna Chhod diya aur apne Rab ke Hukum ko tod diya jiski wajah se Aaj Hum Musibato me Giraftar hain. 1. Dawat dena ALLAH ka Hukum hai. 2. Dawat dena har NABI KI SUNNAT hai 3. Daaee ko har ek bol per 1 saal ki Ibaadat ka Sawab milta hai 4. ALLAH itni madad kisi ki nahi karte jitni madad DAAEE ki karte hain. 5. Dawat ka ek bada fayda yeh hai ki kisi aur ko Hidayat mile na mile DAAEE ko Hidayat Zaroor milegi. 6. DAAEE ke Badan per ALLAH ke Raste me jis Jagah Dhool aur Mitti lag jaye Wahan Dozakh ki Aag to kya wahan ka Dhuan bhi haram hai. 7. DAAEE jab ALLAH ke Raste me Zikr karta hai to use 70 guna Zyada Sawab milta hai. 8. DAAEE ke bare me ALLAH farmate hain ki "YAHI LOG HAIN JO FALAH PAANE WALE HAIN" Surah Al Imran: 104 Mere Bhaiyo ye to sirf DAAE ke sirf thode se fayde hain, inka poori taur per shumar karna na-mumkin hai. Hame Sochna chaiye ki hamne Aaj Deen ke liye kya kiya. IS BAAT KO APNE UPAR ZAROORI KAR LE KI HAR ROZ HUM THODI HI SAHI LEKIN DEEN KI MEHNAT ZAROOR KARE. ALLAH TOFIQ DE AAMEEN..!!
Posted on: Wed, 04 Sep 2013 16:35:15 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015