Assalamu Alaikum wa rahamatullahi wa barkatuhu 5 Ahem Tareen - TopicsExpress



          

Assalamu Alaikum wa rahamatullahi wa barkatuhu 5 Ahem Tareen Nabwi Nasihaten Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: Kon hai jo Mujh se ye khaas Baten seekh le? Phir wo khud Aml kare ya Dusre ba’Aml logon ko bataye, Main ne Arz kiya: Ya RasoolAllah! Main hazir hun, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne (Azrahe Shafqat) Mera hath apne Daste Mubarak mein liya aur Gin kar ye Panch (5) chizen batlayen: ❶ Jo chizen Allah ne Haram qarar di hain un se Bacho, Tum sab se bade Ibadat Guzar banjaoge. ❷ Allah Tala ki Taqseem par razi raho, Tum sab se bade Doulat mand banjaoge. ❸ Apne padosi ke sath Accha sulook karo, Tum kamil Momin banjaoge. ❹ Jo Apne liye pasand karo wo dusron ke liye bhi pasand karo, Tum sacche Musalman banjaoge. ❺ Zyadah hansi se bacho, Kyun ke zyada Hansna Dil ko Murdah kardeta hai. [Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 186] ●════════════════════◄►════════════ ═══════● Narrated from Abu Hurairah that the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: Who will take these statements from me, so that he may act upon them, or teach one who will act upon them? So Abu Hurairah said: I said: I shall O Messenger of Allah! So he (Sallallahu Alaihi Wasallam) took my hand and enumerated five (things), he said: ❶ Be on guard against the unlawful and you shall be the most worshiping among the people, ❷ Be satisfied with what Allah has alloted for you and you shall be the richest of the people, ❸ Be kind to your neighbor and you shall be a believer, ❹ Love for the people what you love for yourself and you shall be a Muslim. ❺ And do not laugh too much, for indeed increased laughter kills the heart. [Jami at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 10 :: Hadith 2305]
Posted on: Mon, 17 Nov 2014 05:47:30 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015