﷽ Assalamu alaykum. AL WASEELA PART 1 1) - TopicsExpress



          

﷽ Assalamu alaykum. AL WASEELA PART 1 1) Tauheed-o-Shirk kya hai? 2) Tauheed-o-Shirk me waseela par aitraaz aur uskay Jawaab.. 3) Waseela ka Maana. 4) Waseela Kya hai? 5) Nabi Sallallahualaihiwasallam k zahiri duniya me aane se pehle ka waseela par dalail.. 6) Quran ki Roshni me Waseela. 7) Nabi Sallallahualaihiwasallam ki zahiri zindagi me waseela. 8) Nabi Sallallahualaihiwasallam k baad wafat ka waseela. 9) Imamo’n ka aqeedah Waseelay per.. 10) Ibn Taymiya ka Aqeeda Waseela per.. 11) Waseela par Hawala Jaat Siha Sitta aur digar Ahadees ki kitaab se. 12) Deoband se Waseela ka Saboot.. Continue Al-Waseela Tujh ko Kya dege yeh shah-e-Madina per chodde. Tu ghulam hai unka sab kuch unki ataa per chodde. Apni bakshish ki fikar karne wala tu hai kaun. Yeh Mustafa ka kaam hai Mustafa per chodde (Sallallahualaihiwasallam) Aur kya hai Biddat Kya hai Sunnat Faisla tu khud na kar Yeh Barelvi k shah-e-Imam Ahmed raza per chodde. Aksar humne dekha hai ki wahbi deobandi Waseela ko Shirk karar dete hai aur baaz haram kehte hai. In logo me hi confusion hai ki Shirk hai Ya Haram inhe khud proper nahi pata lekin bas kehdete hai. To hum sabse pehle Tauhid kya hai ise janne ki koshish karte hai, kai aisi Jamaat jo tahueed k tehkedaar apne aapko kehti hai wo ghumti hai aur kehti hai aao Namaz ki taraf aao Rozo ki taraf biddat choddo aur baaz log Jamaat k toh direct naam bhi lelete hai ki Bareli biddati hai inhe choddo aur aao tauheed ki taraf, shirk se bache biddat se bache. Lekin barelvi ka daawah hai ki jo tauheed k tehkedaar hai who khud shirk me mubtilah hai (yeh alag mauzu hai insha ALLAH ainda article me iska khulasa kiya jayega) Continue AL WASEELA PART 2 Sawal: Tauhid kya hai?? Jawaab: La ilaha ilallah: tarjuma: Nahi koi maabud siwaye ALLAH k. Aqeeda-e-Tauheed: ALLAH ko ek janna, manna, ALLAH ki zaat-o-sifaat me kisi ko sharik na karna.. ALLAH Hamesha se hai hamesha rahega, Na uski koi biwi hai, na usne koi baccha jana, na wo kisi se paida hua, na use oong aaye na neend. Na kisi ka baap hai na kisi ka beta.. aur na uske saath ka koi. ALLAH taala ko ghair haadis samajna. ALLAH taala k alawa tamam jahan me jitni chizein hai sab Haadis hai aur iski zidd aati hai SHIRK. Sawal: Shirk kehte kise hai? Jawaab: ALLAH taala k saath kisi ko sharik karna. Surah Luqman aayat no.13 Continue AL WASEELA PART 3 Tauheed-o-Shirk me waseela per aitraaz aur uskay Jawaab AITERAZ: Ab ilzam kya lagate hai tauheed k tehkedaar,Barelvi Shirk me hai... Kis tarah shirk karte hai Gairullah se Madad mangna shirk hai, Jaisa munafiqo’n ne butto ko waseela samajhkar ALLAH ka qurb hasil karne k liye yehi kaam Barelvi Ahl-e-Sunnat wal Jamaat karti hai. Al-Jawaab: Nabi Buzurgo’n wali. Auliya, Saleheen ka waseela Shirk nahi kyun k ALLAH ne hukum diya inka waseela lene ka aur Munafiq jo butto ka waseela lete the unhe shafi jaante the, ALLAH taala ne butto ko shafi qarar na diya balki munafiq ne khud butt banaye aur usey apna waseela banaliya... Al quran. Tarjuma: “aur kaun hai jo iski ijazat k baghair isse (kisi ki) sifarish karsake. Surah Baqrah: Aayat no. 255 Jab ALLAH taala ne buto’n ko ijaazat di hi nahi toh wahabi inhe shafi kis bina par kehte hai? ALLAH taala ne shafi toh Paighambar, Nabi, Auliya, Wali, Saleheen ko di hai, inko shafi mano. Humne Paighamber, Nabi, Auliya, Wali, Saleheen ko shafi maana toh ALLAH k hukum se maana aur Munafiqo’n ne bina ALLAH ki ijazat k buto’n ko shafi maana... AL QURAN. Tarjuma: “Us roz (Hashar k din kisi ki) shafa’at kisi ko nafa na degi siwaye uske jisko rehman ne ijazat di.. Para 16, Surah Taha aayat no. 109 Ab batao Khabiso ki ALLAH ne Paighambar, Nabi, Auliya, Wali, Saleheen ko ijazat di ya nahi? Ye hum tumhare zimme choddte hain ki saabit kare Ijazat nahi di. Hadees me aata hai: NABI-e-kareem Sallallahualaihiwasallam. ne farmaya meri shafa’at toh bade gunahgaar k liye hai Refrence. Dawud Book 40 : Hadith 4721 Kitab Al-Sunnah. Sunan Ibn Maja Vol. 1 Page no 329 Hadith 4452, Sunan Abi Dawood Vol. 2 Page no 296 Hadith 4741, Sunan Tirmidhi Vol. 2 Page no 66 Hadith 2623, Mustadrak lil Haakim Vol. 1 Page no 69, Sunan Kubra Vol. 10 Page no 190, Al Maujam al Kabeer Hadith 11454 Vol. 10 Page no 189, Mawarid az Zaman Hadith 2596 Page no 345, Kanz al Ummal Hadith 39055 Vol. 14 Page no 398. Quran kehta hai: Kaun hai ALLAH ki ijazat k baghair shafa’at kare NABI Sallallahualaihiwasallam. ka Farman hai Hadees se saabit hai ki, aapko Ijazat milgai hai, meri shafa’at mere ummat k badey gunahgaaro’n k liye hai... Al quran: Tarjuma: “Aye mehboob hum aapko aakhirat k din itna dengey ki aap raazi hojayenge” Para 30 Surah Duha aayat no. 5 Is aayat ki tahsreeh me ek Hadees hai: Tarjuma: “Aye logo tumsab gawah hojao k Aye mehboob hum aapko itna dengey itna dengey yaha takki aap raazi hojao, me us waqt tak apne rab se raazi na hounga jab tak me us shaks ko jahannam se nikal du jiskay dil me rai k barabar bhi imaan hai” Toh maaloom hua ki munafiqao ne buto’n ko khud banakar waseela samjha.. aur humne jo Paigamber, Nabi, Auliya, Wali, Saleheen ka waseela samjate hai toh wo sab ALLAH k hukum se hai. Continue AL WASEELA PART 4 Shafa’at k baad jab waseela banakar munafiq buto’n ko puja karte unhe apna maabood tasleem karte aur sonchte ki buto’n ki jitni puja karengey utna fayda hoga.. “ALLAH farmata hai Mushrikeen apne batil mabudo’n ko pujte the aur kehte the hum inhe nahi pujte magar isliye pujte hai taaki yeh ALLAH tak humko pahuncha de”. Surah Zumur aayat no. 3 Ab is aayat me gaur kare toh Mushrikeen waseela toh mante the lekin saath me pujte bhi the. Ab hum sawaaal karte hain ki kaun hai wo musalman Ahl-e-Sunnat wal Jamaat me jo ALLAH taala k alawa Paigamber, Nabi, Auliya, Wali, Saleheen ko pujta hai inko maabood tasleem karta hai inki ibadat karta hai? Hum kisi Paigamber, Nabi, Auliya, Wali, Saleheen ko nahi pujte aur naahi koi Khabees ise saabit kar sakta hai. toh yaha se baat saaf hojati hai ki hum Paigamber, Nabi, Auliya, Wali, Saleheen ko shafaat karne wala jaante hai lekin maabud nahi maantey.. Continue AL WASEELA PART 5 Munafiq buto’n ko waseela banate aur pujte bhi they aur kaise pujte ki jitni taaqat ALLAH ko hai utni hi in buto’n ko bhi hai (MAZALLAH) har chiz me yeh butt ALLAH k saath barabar me sharik karte the (NAUZBILLAH) AL QURAN: Tarjuma: Aur Qayamat k din wo mushrikeen kahenge “Khuda ki qasam hum toh bahut badi gumrahi me the k humne in buto’n ko rabul aalamin k barabar tehra diya tha” Surah Shura Aayat no. 97 to 98: Toh saabit hua ki munafiq mushrikeen ne buto’n ko waseela janne k saath saath ALLAH taala ka sharik bhi tehraya. Lekin Ahl-e-sunnat wal Jamaat Paighamber, Nabi, Auliya, Wali, Saleheen ko khuda ka sharik nahi jaanti nahi manti. Yeh hogaya shirk khatam kyun k hum Paigamber, Nabi, Auliya, Wali, Saleheen ko khuda nahi samajte aur naahi ALLAH taala ka sharik tehrate hai. yeh hamara aqeedah hai hi nahi. BILFARZ: Jo shaks ya khabis ko itminaan na hua ho in dalil se k waseela shirk nahi aur mushrikeen waseela kis tarah jaante the maante the aur ahl-e-sunnat wal Jamaat ka sahi aqeedah kya hai. Toh hum kahenge Quran me ek aayat hai uska Jawaab de aap log. Al quran: Tarjuma: “Aye Eiman walo, ALLAH se daro aur uski taraf waseela talash karo aur uski raah me jihad karo, is ummid par ki tum falaah paao. Surah Maida aayat no 35 Ab yaha par Imaan walo se mukhatib kiya gaya hai ki ALLAH ki taraf waseela dhundo Aur sabse pehla hukum kya diya ALLAH ne? ALLAH se daro aur banda kis tarah darta hai khuda se ? namaz roza zakaat hajj na kare aur kahe ki me ALLAH se darta hu. Kya yeh mumkin hai?? ALLAH se darne ka matlab kya hai?? Namaz ka waqt hua,Hum Namaz padhne gaye, Zakat k waqt puri sahi zakat adaa ki, Ramzan me rozay rakhe ibadat ki, ALLAH ne maal-o-daulat di humne Hajj kiya. Yeh hai darna ALLAH se. aur in tamam chizo se darne k baad hukum diya ki ALLAH ki taraf wasila dhundo. Yeh nahi kaha ki yeh sab amal karo Jannat miljayegi, tum sab hashar me paas hojaogey agar aisa hota ki bina waseela hi yeh sab amal karlo toh Iblees ka kya haal hua ? Duniya me rai k barabar bhi aisi koi jagah nahi jaha Iblees ne sajda na kiya ho lekin Jab ALLAH taala ne hukum diya ki Hazrat Adam Alaihissalam ko sajda karo toh Iblees k alawa tamam Farishto’n ne sajda kiya. aur ALLAH taala ko yeh baat nagawara hua ki Iblees ne sajda nahi kiya aur shaitaan banadiya gaya. Gaur-o-fikr kare toh Nabi ka waseela thukra diya aur shaitaan bangaya aur tamam farishto ne tazeemi sajda karke Hazrat Adam Alaihissalam ko ALLAH ka qurb haasil kiya lekin Iblees ne waseela thukraya aur shaitaan mardood bangaya. Toh pata chala ki Amal thukraya jaa sakta hai magar waseela nahi aur waseela dhundne ka hukum hai is aayat me jisse bande gumrah na ho. Aur waseela shirk ya Haram hai toh is aayat me waseela kaisa????. S-H-O SUNNI HANFI ORGANIZATION Dont forget to Subscribe us on youtube/user/786sho dailymotion/786sho Whatsapp users join us 00968-93761198 Continue AL WASEELA PART 6 GUZRI HUI PART NO 5 PEHLEY PADHEN KHABIS AITERAZ. Is per Khabis yeh aitraaz karega ki yaha waseela se muraad. Paighambar, Nabi, Auliya, Wali, Saleheen ka waseela nahi balki AMAAL hai. Humara Jawaab: hum pehle yeh janna chahenge ki Khabiso’n decide karlo ki kya Gairullah ka waseela shirk hai ya nahi? Pher hum Aapka Jawaab dengey kyun k aaplog hi kehte hai ki Gairullah ka Waseela hi Shirk hai, ALLAH taala k alawa kisi ka bhi waseela Shirk hai. Pehle taye karlo ki Gairullah ka Waseela shirk hai ya nahi. Agar Shirk hai toh kya AMAAL ALLAH hai ya Gairullah hai?? Kyun k wahabiyo’n k badao ne apni kitab me likh rakha hai ALLAH k alawa kisi ka waseela Jayaz nahi toh amaal gairullah hai iska waseela jayez kaise hogaya? tum tumhare bado’n k khilaf bol rahe ho padho Taqwiyatul imaan by Ismail Dehlvi Aur tum wahabi apne bado ki kitaabo’n ka inkar na karte huway unki baataon ko tasleem karte ho ki ALLAH taala k alawa kisi ka waseela Jayaz nahi hai pher Dalil kyu dete ho Quran se ki.. Sabr-o-Namaz se waseela lo. Surah Baqrah Aayat no.153 NOTE: Jab Gairullah se waseela shirk hai toh NAMAZ, SABAR, AAMAL Gairullah hai ya ALLAH hai??? Albatta maalum hua ki uska waseela Shirk hai Jiski Ijazat ALLAH taala ne na di.. Continue AL WASEELA PART 7 KA DOSRA HISSA SURAH QAAF AYAAT NO 16 Is ayaat ki tashreeh me Maulana Rumi ne ek waqiya likha hai apni kitab masnavi me jo 8 jild me aati hai aur maktab me padhai jaati hai. aap likhte hai isi aayat k tahet. “ek jauhari tha uske paas bada hi kimti hira (diamond) tha, usne socha isko bech detey hain aur jo keemat Milegi usee me apna karobar chalonga aur fir tarakki ka sochenge, ab wo heera bada keemti hai aur is shaher me koi aysa nahi jo iska sahi daam de sake aur kharid sake aur ek hi shaks hai jo hire (diamond) ki keemat de sakta hai wo hai baadshah-e-waqt, magar raajdhani bahot door thi is jauhari k gaon se, to is jauhari ne socha ki safar tay karte hai rajdhani ka aur badshah ki khidmat me hira (diamond) pesh karenge to badhshah kharid lega. Ab yeh jauhari hira (diamond) lekar nikla ittefak se ek chor ko pata chal gaya ki yeh jauhari keemti hira lekar rajdhani badhshah-e-waqt k paas jaa raha hai ab jauhri ne kai tazkira kiya hoga toh baat felte felte chor tak pahunch gai. Chor ne soncha yeh safar ka mauka bada accha hai tanha hoga tab heera chori karloonga to saath me Holiya jauhri k Salma kalam kiya aur pucha jauhri se ki aap kaha jaarahe hai to jauhri ne bataya rajdhani badhshah se milne aur chor ne bhi kaha ki me bhi rajdhani jaa raha hu chaliye acha hai dono saath me chalenge toh waqt bhi katt jayega, Jauhri ko thoda shak hogaya ki jaan na pehchan aur yeh mere saath hogaya chalne k liye. ab rasta sonchta raha ki here ki hifazat ka kya karna hai, ab chalete chalete sham hui to jauhri jo hushyar bhi tha aqalmand bhi tha usne chor se kaha ki raat hone wali hai hum dono ek saath nahi so sakte. ek kaam karte hai raat k aadhey hisse tum sojao aur dosra rakhwali kare isi tarah saaman ki bhi hifazat rahegi. chor ne HAA kehdiya aur Jauhri ne kaha pehle tum sojao me pehra deta hoon, chor ne haami bharli aur sogaya. Jab chor sogaya puri neend me to jauhri ne apna hira (diamond) badi chalaki se chor k kapdo me chupa diya taaki chor ko pata na chale ki heera usi k paas hai pher aadhi raat hui toh jauhri ne chor ko uthaya aur kaha ab me sota hoon tum pehra dena, chor uthgaya pehra dene laga, jab jauhri gehri neend me sogaya tab chor ne heera talash karna shuru kiya lekin subah tak usey hira (diamond) jauhri kay paas na mila,fir dono uthe aur safar tay kiya. Safar 7 dino ka tha toh dosri raat pher pehle chor soya tab jauhri ne check kiya ki heera hifazat se hai chor k paas aur aadhi raat hone par pher chor ko uthaya aur khud jauhri sogaya, Jauhri sone k baad chor ne dhondna shuru kiya toh use fir hira (diamond) na mila, yehi silsila 7 raat tak chala jabtak wo rajdhani na pahuche, Pher kisi tarah chalaki se jauhri ne heera haasil kiya aur use haath me uchal tha hua chor se kaha ki ab hum Rajdhani pahuch gaye hai toh tum apne raste jao aur me apne raaste, chor pareshan ki me 7 raat dhundta raha heera mujhe na mila lekin hai wo jauhri kay paas hira. Chor ne kaha tumhe rab ka waasta ek chiz puchni hai ki tum yeh heera kaha chupate the jo mujhe na mila kyun k me chor hu. Jauhri ne Jawaab diya “HEERA TERE QAREEB HI THA LEKIN TU HEERE K KAREEB NA THA” pher pura waqiya bayan kiya. Yeh Maulana rumi ne is ayaat ki tahsreeh me likhte hai aur farmate hai bayaini hi ALLAH taala apne bande se kareeb hota hai lekin bando ka ALLAH taala se kareeb hona aur hai. Banda kareeb hoga jab darmiyan me waseela hoga. Continue AL WASEELA PART 7 NOTE: IS POST KO HUMNE DO HISSAO ME KIYA HAI. Ab kuch wahabi yeh bhi kehte hain. AL QURAN Tarjuma: Aur hum dil k rag se bhi ziyada nazdeek hai. Surah Qaaf Aayat no. 16 Yeh sabse badi Daleel hai wahbiyo’n ki pher iske baad inki daleelein khatam hojaati hai bas itni had hai inki. Kehte hain: ALLAH tumhari rag se bhi zyada kareeb hai wo dekhta hai sunta hai toh phir waseela kyun banate ho? Ab Jawaab padheye: ALLAH taala ne farmaya ki ALLAH kareeb hai aysa to nahi kaha ki banda mujhse kareeb hai?? Fark hai yeh dono baat me khoob fark hai.. ALLAH taala ka bande se nazdik hona aur Bando ka ALLAH taala k nazdeek hona khoob fark hai, ALLAH taala har bande se kareeb hai to ABU JAHAL se bhi kareeb hai, Namrud se bhi qareeb hai, firaun se bhi kareeb hai lekin kya yeh bandey ALLAH taala k kareeb they?? Agar hote toh gumrah wa kafir na hote aur gumrah hue kyun k bich me NABI ka waseela nahi tha. Jisne NABI ko waseela banaya wo ALLAH k kareeb hogaye aur jo khud direct ka daawah karne lage wo gumrah hogaye. Continue AL WASEELA PART 8 Waseela ka Maana. Waseela ka maana hai “Kisi ayse shaks k zariye ALLAH ka Qurb haasil karna jisey ALLAH taala ne shafaa’t, qurbiyat ataa ki ho” Jaisa ki humne pichle dalail me padha ki ALLAH taala ne kise ijazat di hai shafa’t par jiska waseela Shirk nahi kaha... Waseela Kya hai..? Waseela ALLAH taala ka Qurb haasil karna hai, Ahl-e-Sunnat wal jama’at me Waseela k taalluq me Hayat-o-wafat ka paimana hi nahi Balki Qurbiyat dekhi jaati hai k ALLAH taala ne kise shafi banaya kise qurbiyat ataa ki hai aur inhi ka waseela talash karne ka hukum bhi aaya hai Quran me. Lekin Wahabi kehte hai Baad wafat Waseela Jayaz nahi toh is par hum ilzami sawaal karte hai ki Jab NABI Sallallahualaihiwasallam. zahiri duniya me maujood the toh waseela Jayaz tha aur beshak ALLAH taala ne aapko wo qurbiyat ataa ki k aapki dua kabhi radd nahi hosakti to Wahbiyon ko chahiye ki aysi dalil pesh kare k jisse yeh saabit ho ki Zahiri duniya me Qurb tha aur wafat baad Qurbiyat khatam hojaati hai. NOTE: Qayamat tak ka waqt dete hain, yeh dalil laakar dikhade. Continue AL WASEELA PART 9 NABI-E-KAREEM Sallallahualaihiwasallam k duniya me aane se pehle WASEELE ka saboot. Hadees: Hazrat Abduallah Bin Abbas (Radi ALLAH Taala Anhu) ne farmaya: kahybar k yahoodi Ghatfaan qabeelay se bar sar-e-paykaar raha karte they (Yani ladte rehty thy) pas jab bhi dono ka samna hua yahoodi Shikast kha gaay. Phir Yahoodiyun ne is dua k zaria panah mangi: Ay ALLAH hum tujh se Ummi NABI MUHAMMAD MUSTAFA (SALLALAHU ALAIHAY WA ALIHE WASALLAM) k waseelay se sawal karte hain jinhein to tune Akhri Zamana me hamare liye bhejne ka hum se wada farmaya hai k in (Duhsmanon) k muqable me hamari madad farma. Rawi kehty hain: Pas Jab bhi wo dushman k samny ay to unhone yehe dua mangi aur Ghatfaan (Qabeela) ko shikast di. Lekin jab HUZUR NABI AKRAM (SALLALAHU ALAIHAY WA ALIHE WASALLAM) mabus huway to unhone (AAP SALLALAHU ALAIHAY WA ALIHE WASALLAM ka) inkar kiya. Is par ALLAH Taala ne yeh ayat utari: AL QURAN tarjuma: Halanke isse pehly wo khud Aye Muhammad (SALLALAHU ALAIHAY WA ALIHE WASALLAM) ap k waseelay se kaafiron par Fatah-yaabi ki dua mangte thy. Continue AL WASEELA PART 10 Hadees: Hazrat Abdullah Bin Abbas (Radi ALLAH Taala Anhu) se riwayat hai k HUZUR NABI AKRAM (SALLALAHU ALAIHAY WA ALIHE WASALLAM) k Besat se qabl Yahood AAP (SALLALAHU ALAIHAY WA ALIHE WASALLAM) k waseelay se (Qabeela) Aus-e-Khazraj par fatah manga karte they, Magar Jab ALLAH ne AAP (SALLALAHU ALAIHAY WA ALIHE WASALLAM) ko Arab se zahir kiya to wo AAP (SALLALAHU ALAIHAY WA ALIHE WASALLAM) k munkar ho gay. Ek Martaba Banu Salmah k Muadh Bin Jabal (Radi ALLAH Taala Anhu) aur Bishar Bin Baraa Bin Maroor (Radi ALLAH Taala Anhuma) ne unhain kaha: Ay Yahood ALLAH Taala se daro aur Islam le aao, Jab hum Ahl-e-Shirk they to tum Naam-e-Muhammad (SALLALAHU ALAIHAY WA ALIHE WASALLAM) k saath hum par fatah manga kartey thy, AAP (SALLALAHU ALAIHAY WA ALIHE WASALLAM) k besat aur seerat ko hum par pesh karte thy. Yeh sun kar Salam bin Mishkam (Yahoodi) ne kaha: Yeh wo NABI nahi jis ka zikar hum kartey thy aur jo sifaat hum bayan kartey thy wo is me nahi. Is par ALLAH Taala ne yeh ayat utari: ْاوُ فَرَع اَم ْمُهَءاَج اَمَلَف ْاوُرَفَك َنيِذَلا ىَلَع َنوُحِتْفَت ْسَي ُلْبَق نِم ْاوُناَكَو ْمُهَعَم اَمِِل ٌقِِدَصُم ِهِللا ِدنِع ْنِِم ٌباَتِك ْمُهَءاَج اَمَلَو َنيِرِفاَكْلا ىَلَع ِهَللا ُةَنْعَلَف ِهِب ْاوُرَفَك ،یھت دوجوم ساپ ےک نا وج ےہ یلاو ےنرک قیدصت )ً لصا( یک )تاروت( باتک سا وج یئآ ) نآرق ( باتک ہو ےس فرط یک ا ساپ ےک نا بج روا ںورفاک )ےس ےلیسو ےک نآرق باتک یلاو ےنرتا رپ نا روا ملسو ہلآو ہیلع ا یلص دمحم ترضح نامزلا رخآ یبن ( دوخ ہو ےلہپ ےس سا ہکنلاح نآرق باتک یلاو ےنوہ لزان رپوا ےنپا ملسو ہلآو ہیلع ا یلص دمحم ترضح ( یبن یہو ساپ ےک نا بج وس ،ےھت ےتگنام ) اعد یک( یبای حتف رپ تنعل یک ا رپ ںولاو ےنرک راکنا ) ہتسناد ےسیا( سپ ،ےئگ وہ رکنم ےک یسا وت ےھت ےتناچہپ )ےس یہ ےلہپ( ہو ےسج ایآ ےل فیرشت )ھتاس ےک ےہ Tarjuma Aur Jab Un k pas ALLAH ki taraf se wo Kitab (Quran) aai jo us kitab (Tauraat) ki (Aslan) Tasdeeq karne wali hai aur jo un k pas maujood thi, Halanke isse pehly wo khud (NABI AKHIR UZ ZAMAN HAZRAT MUHAMMAD (SALLALAHU ALAIHAY WA ALIHE WASALLAM) aur un par utarne wali kitab Quran k waseelay se) kaafiron par fateh yabi ki Dua mangte they. So jab un k pas wohi (NABI Hazrat Muhammad (SALLALAHU ALAIHAY WA ALIHE WASALLAM) apne uper nazil hone wali kitab Quran k sath) tashreef le aye jissy wo (pehley hi se) pehchaanty they to usi k munkar ho gaay, Pas (aysy Danistah) Inkar karne walon par ALLAH Taala ki Lanat hai.. Sorat Al Baqarah Ayat number 89.. S-H-O SUNNI HANFI ORGANIZATION Dont forget to Subscribe us on youtube/user/786sho dailymotion/786sho Whatsapp users join us 00968-93761198 Continue AL WASEELA PART 11 NOTE is post k do hissey hain. Hazrat Ali Azdi (Radi ALLAH Taala Anhu) riwayat karte hain k Yahood kaha karte they: Ay ALLAH Hamare liye us NABI (Ummi) ko bhej jo hamare darmiyan faisla kare, Un k zaria (Aur waseela se) fatah Talab karte the Yani un k waseelay se logo par ghalbah Maanga karty the. References Bayhaqi Book: Dalail An Nubuwwah Volume: 2 Page: 76. Imam Qurtubi قال ابن عباس: كانت يهود خيبر تقاتل غطفان فلما التقوا هزمت يهود , فعادت يهود بهذا الدعاء وقالوا : إنا نسألك بحق النبي األمي الذي وعدتنا أن تخرجه لنا في آخر الزمان إال تنصرنا عليهم . قال : فكانوا إذا التقوا دعوا بهذا الدعاء فهزموا غطفان , فلما بعث النبي صلى الله عليه وسلم كفروا , فأنزل الله تعالى: وكانوا من قبل يستفتحون على الذين كفروا أي بك يا محمد Refrence. Qurtubi, al-Jami li-ahkam-il-Quran, volum 2 page no 27. Mahmud Alus. وكانوا من قبل يستفتحون على الذين كفروا نزلت في بني قريظة والنضير كانوا يستفتحون على األوس والخزرج برسول الله صلى الله عليه وآله وسلم قبل مبعثه قاله ابن عباس وقتادة والمعنى يطلبون من الله تعالى أن ينصرهم به على المشركين كما روى السدي أنهم كانوا إذا اشتد الحرب بينهم وبين المشركين أخرجوا التوراة ووضعوا أيديهم على موضع ذكر النبي صلى الله عليه وآله وسلم وقالوا:اللهم إنا نسألك بحق نبيك الذي وعدتنا أن تبعثه في آخر الزمان أن تنصرنا اليوم على عدونا فينصرون فلما جاءهم ما عرفوا كفروا به كنى عن الكتاب المتقدم بما عرفوا ألن معرفة من أنزل عليه معرفة له ووجه الداللة من هذه اآلية ظاهر فإن الله سبحانه أقر استفتاح اليهود بالرسول ولم ينكره عليهم وإنما ذمهم على الكفر والجحود بعد إذ شاهدوا بركة االستفتاح بالنبي صلى الله عليه وآله وسلم Refrence. Mahmud Alusi, Ruh-ul-maani jild 1 page no 320. Refrence. Imam Jalal-uddin Mahalli. and Imam Jalal-ud-Din Suyuti In Mahalli and Suyuti. Tafskr-ul-jalalayn Page no 14. Ibn Kathir, Tafsir-ul-Quran al-‘azim jild 1 page no 124. Imam Suyuti, ad-Durr-ul-manthur jild 1 page no 88. Abdullah bin Muslim bin Qutaybah, Tafsir gharib-il-Quran page no 58. Ibn Jarir Tabari, Jami-ul-bayan fi tafsir-il-Qur’an jild 1 page no 325. Baghawi, Ma‘alim-ut-tanzil jild 1 page no 93. Continue AL WASEELA PART 11 Ka dosra hissa. Abu al-Fadl al-Mibadi. Kashf-ul-asrar wa‘uddat-ul-abrar jild 1 page no 272. Ibn-ul-Jawzi, Zad-ul-masir fi ‘ilm-it-tafsir jild 1 page no 114. Mujahid bin Jubayer, Tafsir jild 1 page no 83. Baydawi Tafsir jild 1 page no 122. Nasafi al-Madarik jild 1 page no 61. Khazin, Lubab-ut-ta’wil fi ma‘ani at-tanzil jild 1 page no 65. Muhammad bin Yusuf Abu Hayyan Andalusi, Tafsir-ul-bahr-il-muhit jild 1 page no 303. Ibrahim bin ‘Umar Biqai, Nazm-ud-darar fi tanasub-il-ayat was-suwr jild 2 page 36-7. Muhammad bin ‘Abd-ur-Rahman Hasani Husayni Jami‘-ul-bayan fi tafsir-il-Qur’an Jild 1 page no 23. Abu Sa‘ud ‘Amadi, Irshad-ul-‘aql-is-salim ila mazaya al-Qur’an al-karim jild 1 page no 128. Ismail Haqqi, Tafsir ruh-ul-bayan jild 1 page no 179. Sulayman bin ‘Umar, al-Futuhat-ul-alihiyyah jild 1: page 77-8. Shawkani Fath-ul-qadir jild 1 page no 112. Muhammad Rashid Rada, Tafsir-ul-manar jild 1 page no 381. Ibn Juzayy, Kitab-ul-tashil li-‘ulum-it-tanzil jild 1 page no 53. Khatib Shurbini, as-Siraj-ul-munir jild 1 page no 76. Wahbah Zuhayli, at-Tafsir-ul-munir jild 1 page no 219 to 220. Tantawi Jawhari, al-Jawahir fi tafsir-il-Qur’an al-karim jild 1 page no 96. Hakim in al-Mustadrak jild 2 page no 263. ajurri in ash-Shari‘ah page no 446 to 448. Bayhaqi in Dala’il-un-nubuwwah jild 2 page no 76 to 77. Abu Nu‘aym in Dala’il-un-nubuwwah page no 44 to 45. Ibn Kathir in al-Bidayah wan-nihayah jild 2 page no 274 to 275. Continue AL WASEELA PART 12 Waseele ka sabut Quran se Surah Nisa Aayat no. 64 Tarjuma. Aur humne koi rasul na bheja magar isliye k ALLAH k hukum se uski itaat ki jaaye aur agar jab wo apni jaano par zulm kare to aye mehboob tumhare huzur haazir ho aur phir ALLAH se maafi chahe aur rasul unki shafa’at farmaye toh zarur ALLAH ko bahut tauba qabul karne wala maherbaan paye” Is ayat k tahet Ullem-e-Kram Hadees naqal karte hai : “NABI Sallallahualaihiwasallam ki wafat shareef k baad ek arbi roza-e-aqdas par hazir hua aur roza shareef k khaak paak apne sar per daali aur arz karne laga ya rasul ALLAH jo apne farmaya humne suna aur jo aap per naazil hua usme yeh aayat bhi hai واْمُ ُھْم ِاذْ َّظلَ ْواَنَّ َول maine. beshak apni Jaan par zulm kiya aur apke huzur me ALLAH se apne gunah ki bakshish chahne haazir hua toh mere rab se meri gunah ki bakshish karaye is par qabr shareef se nida ayi ki teri bakshish ki gai” Is hadee ko Imam Ibn Kathir ne darj kiya Refrence. Ibn Kathir, Tafsir-ul-Quran al-azim Volume 4, Page No.140, Under the Verse 4:64. وقد ذكر جماعة منهم الشيخ أبو منصور الصباغ في كتابه الشامل الحكاية المشهورة عن العتبي قال : كنت جالسا عند قبر النبي صلى الله عليه وسلم فجاء أعرابي فقال : السالم عليك يا رسول الله سمعت الله يقول ولو أنهم إذ ظلموا أنفسهم جاءوك فاستغفروا الله واستغفر لهم الرسول لوجدوا الله توابا رحيما وقد جئتك مستغفرا لذنبي مستشفعا بك إلى ربي ثم أنشأ يقول : يا خير من دفنت بالقاع أعظمه فطاب من طيبهن القاع واألكم نفسي الفداء لقبر أنت ساكنه فيه العفاف وفيه الجود والكرم ثم انصرف األعرابي فغلبتني . عيني فرأيت النبي صلى الله عليه وآله وسلم في النوم فقال : يا عتبي الحق األعرابي فبشره أن الله قد غفر له Continue AL WASEELA PART 13 Imam Nawawi وقد روى الإمام النووي في كتابه األذكار عن العتبي ، وهو شيخ البخاري ، أن العتبي قال كنت مرة بجوار قبر النبي إذ أقبل اعرابي فقال : السالم عليك يا رسول الله إني سمعت قول الله تعالى ) ولو أنهم إذ ظلموا أنفسهم جاءوك فاستغفروا الله واستغفر لهم الرسول لوجدوا الله توابا رحيما ( وإني اتيتك يا رسول الله مستغفرا ذنبي مستشفعا بك الى ربي ، ثم أنشد يقول: يا خير من دفنت في الترب اعظمه فطاب من طيبهن القاع واألكم نفسي الفداء لقبر انت ساكنه فيه العفاف وفيه الجود والكرم ثم انصرف األعرابي ، يقول العتبي : فأخذتني اغفاءة فأتاني رسول الله في الرؤيا يقول يا عتبي الحق األعرابي وقل له لقد غفر الله لك Refrence. Imam Nawawi in Kitab ul Adhkaar, Page No. 179, Published by Dar ul Marifah, Beirut, Leabon. Continue AL WASEELA PART 14 Imam Jalaluddin Suyuti in Dur al-Manthur (والسيوطي في الدر المنثور ) ٣٢-٠٧٥/١ وأخرج البیهقي عن أبي حرب الہاللي قال : حج أعرابي إلى باب مسجد رسول اللہ صلى اللہ علیه وسلم أناخ راحلتہ فعقلہا ثم دخل المسجد حتى أتى القبر ووقف بحذاء وجہ رسول اللہ صلى اللہ علیه وسلم فقال : بأبي أنت وأمي يا رسول اللہ جئتك مثقال بالذنوب والخطايا مستشفعا بك على ربك ألنہ قال في محكم تنزيلہ ولو إنہم إذ ظلموا أنفسہم جاؤوك فاستغفروا اللہ واستغفر لہم الرسول لوجدوا اللہ توابا رحيما. Refrence. Tafsir Dur al Manthur under volum 4 page no 64. Tafsir al-Qurtubi, al-Jami li Ahkam al-Quran. روى أبو صادق عن علي قال: قدم علينا أعرابي بعدما دفنا رسول الله صلى الله عليه وسلم بثالثة أيام , فرمى بنفسه على قبر رسول الله صلى الله عليه وسلم وحثا على رأسه من ترابه ; فقال : قلت يا رسول الله فسمعنا قولك , ووعيت عن الله فوعينا عنك , . وكان فيما أنزل الله عليك ولو أنهم إذ ظلموا أنفسهم اآلية , وقد ظلمت نفسي وجئتك تستغفر لي . فنودي من القبر إنه قد غفر لك Refrence. Tafsir al-Qurtubi, al-Jami li Ahkam al-Quran. Volume 6, Page No. 439, Under the Verse, 4: page no 64. Bayhaqi in Shu‘ab-ul-Imaan Volume no: 3, Page no 495 to 496, Hadith No 4178) Ibn Qudamah in al-Mughni- Book Kitab Al Hajj Chapter Wa Yustahabbu Ziyarat Qabr An NABI Sallallahualaihiwasallam Volume 5 Page 465. Continue AL WASEELA PART 15 Ibn ‘Asakir in Tahdhib tarikh Dimashq al-kabir popularly known as Tarikh/Tahdhib Ibn ‘Asakir as quoted by Imam as-Subki in Shifa us-siqam fi ziyaat khayr-il-anam page no 46 to 47. Tafsir al-Bahr al-Muheet by Imam Abu Hayyan al-Andalusi jild 3 page no 282, Dar al Fikr edition. or Book: Tafseer bahr Al Muheet Volume: 3 Page: 269 Under: Sorat An Nisa Ayat number 64. Volume : 3 Page : 269 Under : Sura An Nisa Ayat number 64 At Taubah Chapter : Fadliha Wa Ahkaamiha Page no 502 Hadith number : 10422 10. Imam al-Mutaqi al-Hindi in Kanz ul Amaal jild 1 page no 714 10422. or Book: Tafseer bahr Al Muheet Volume: 3 Page: 269 Under: Sorat An Nisa Ayat number 64. Scan page: Kanz ul Amaal. S-H-O SUNNI HANFI ORGANIZATION Dont forget to Subscribe us on youtube/user/786sho dailymotion/786sho Whatsapp users join us 00968-93761198 Continue AL WASEELA PART 16 Imam al-Nawawi again in his al-Majmu jild 8 page no 202 to 203. Ibn Hajar Haythami in al-Jawhar-ul-munazzam page no 51. Kitne hawale diye hai sabke sab sahi hai aur wahabi jo is riwayat jhoot manghadat kehte hai wo in Imamo’n par fatwa lagaye ki jhoti manghadat riwayat apni kitab me darj karke ummat ko kya batana chahte hai?? Is par fatwa lagana deobandi wahabi par hum choddte hai. Surah Yusuf aayat no. 93 Tarjuma: Mera yeh kurta lejao ise mere baap k muh par daalo unki aankhen khul jayegi” Is aayat se pata chalta hai ki Hazrat Yusuf Alaihissalam k kurte ka waseela banakar apne walid tak pahunchaya aur pher us kurte ko apni chahre par lagaya toh unki aankhen khul gai. Haqeeqat dene wala ALLAH taala ki zaat hai aur bich me waseela NABI ka hai. Continue AL WASEELA PART 17 Huzoor Sallallahualaihiwasallam) ki Zahir zindigi me wasila ka saboot Hadees 1 Ummul Momineen Hazrat Maymuna radialla taala anha farmati hain, ek roz Huzur sallallaho alaihe wasallam mere sath so rahe the ki wo adhi raat ko Namaz ke liye Wazu banane k liye uthe to Wazu banate waqt maine unhe kehte hue suna. Labbayka labbayka labbayka. is Tarah aapne 3 bar kaha, aur pher kaha Nusirto Nusirto Nusirta Jab aap Sallallaho alaihe wasallam. fairgh huwaye to maine apse pucha YA RASOOLALLAH, maine apko Wazu k dauran 3 bar kehte hue suna ki Mai Hazir hu aur pher 3 bar suna ki Mai madad karta hu Kya aap kisi se baatein kar rahe the? to aapne jawab diya ki Wo Banu Kab ka ek rajiz tha, Khuzaa ki ek choti Jamat mujhe madad ke liye pukar rahi thi. yastas. rikhuni aur mujse zor dekar keh rahi thi ki Quraysh ne Banu Bakr ko unke Khilaf madad ki hai. Dusre ne Hudaibiya se jung ke waqt Quraysh se apni dosti kar li thi, aur Banu Khuzaa ne Muhammad sallallaho alaihe wasallam ka sath liya, aur wo unhe bachane ke liye Muqarrar the, Banu Bakr ke liye Quraysh ka saath Khuzaa ke khilaf tha isliye wahan par Muhammad sallallaho alaihe wasallam k sath Aarzi Sulah ki Hurmat ho gayi thi. Ye Ittefaq Fateh Makka ki haunsla Afzai ke liye tha. Bas isi ke baad wo isme Dakhil hue aur Fateh Hasil kar li. Refrence. al-Mujam al-Kabir, Is Hadees se 4 baate pata chalti hain, 1: Nabi sallallaho alaihe wasallam ka Waseela liya gaya. 2: Nabi sallallaho alaihe wasallam ko Door se bhi madad ke liye pukarna jaez hai. 3: Nabi alaihe salam door se hi apne chahne walo ki awaz sun bhi lete hain, aur farmaya ki Labbayka labbayka labbayka. yanhi Hazir bhi ho jate hain, 4: Nabi alaihe salam apne ghar se hi sara muamla dekh rahe the, isiliye Hazrat Maymuna radialla taala anha ko sab kuch ayse hi bata diya. Yani aap door se dekh bhi sakte hain, sun bhi sakte hain, aur Madad ko Hazir bhi ho sakte hain. Continue AL WASEELA PART 18 Hadees Hazrat Usman Bin Hunaif radialla taala anhu se riwayat hai, ki ek Naa-beena (Andha) shaks Nabi sallallaho alaihe wasallam ki bargah me hazir hua aur bola, Aap mere liye dua kijiye ki ALLAH mujhe shafa ata farmaye, to Aap alaihe salam ne farmaya: Agar tum sabar karo to ye tumhare liye ziyada behtar hoga, aur agar tum chaho to mai tumhare liye dua karu To usne kaha Aap Dua kijiye, Aap alaihe salam ne farmaya: jaao achhi tarah wuzu karo aur pher 2 Rakat namaz padho aur pher is tarah Dua karo, Allahumma lnni asaluka wa atawajjahu ilaikabimuhamma din nabiyyir-rahma. Ya Muhammadu inni qad tawajjahtu bika ila rabbi fi hajati hadhihi lituqda. Allahumma fashaffi’hu fiya. Tarjuma: Aye ALLAH mai tujhse sawal karta hoon aur teri taraf rukh karta ho aur Muahmmed allallaho alaihe wasallam Nabi-e-Rehmat ke waseele se tujhse dua karta hu, Aye Mohammed sallallaho alaihe wasallam, Maine apni hajat ke liye apke Waseele se ALLAH ki taraf rukh kiya, aye ALLAH Ye Waseela qubul farma Refrence. Tuhfatuz Zakireen, Page no 138 By Qazi Shawkani. Continue AL WASEELA PART 19 WAHAIDUZZAMA SAHAB ne waseelay k jawaaz par SHAREH BUKHARI IMAM QUSTALANI (alaihirrehma) ka 1 qaul naqal kiya NABI swallallahualaihiwasallam) k waseelay se ALLAHTAALA ki taraf mutawajjayh hokar aahozari karne ka MUTAQADDIMEEN aur MUTAAKHIREEN me se kisi ne waseelay ka inkar nahi kiya. IBN-E-TAIMIYA aaya aur USNE hi sabse pehlay waseelay ka inkar kiya NABI swallallahualaihiwasallam) k wisaal k baad ki HADEES mulahayza ho IMAM-E-TIBRANI APNI SANAD-E-SAHIH k sath riwayet karte hain k HAZRAT USMAN BIN HANIF (raziallahuanhu) bayaan kartay hain 1 shakhs HAZRAT USMAN-E-GHANI (raziallahuanhu) k paas apni kisi zaroorat k tehet jata tha, lekin HAZRAT USMAN-E-GHANI (raziallahuanhu) uski taraf mutawajjayh nahi hote they aur na us k kaam ki taraf dhyan dete they. 1 din us shakhs ki mulaqat HAZRAT USMAN BIN HANIF (raziallahuanhu) se hui us shakhs ne HAZRAT USMAN BIN HANIF (raziallahuanhu) se is baat ki shikayat kiya ki AMEER-UL- MOMINEEN HAZRAT USMAN-E-GHANI (raziallahuanhu) hamari zaroorat ki taraf mutawajjayh nahi ho rahe hain to HAZRAT USMAB BIN HANIF (raziallahuanhu) ne us shakhs se farmaya ki 2 RAQAT NAMAZ PADH AUR IS TARAH DUA MAANG DUA KA TARJUMAH aye ALLAHTAALA mai TUJHSE sawaal karta hoo aur MOHAMMAD NABI-E-REHMAT k waseelay se Teri taraf mutawajjayh hota hu, aye MOHAMMAD mai AAP k waseelay se AAP k RAB (APNAY RAB) ki taraf mutawajjayh hua hu, taki meri haajat poori ho is DUA k baad APNI zaroorat ka zikr karo, phir mere paas aana taki mai tumhare saath chalo. woh shakhs chala gaya aur HAZRAT USMAN BIN HANIF (raziallahuanhu) k bataye huway tareeqay par amal kiya phir woh shakhs AMEER-UL-MOMINEEN USMAN-E-GHANI (raziallahuanhu) k paas gaya. darban ne us shakhs k liye darwaza khol diya. us shakhs ko USMAN-E-GHANI (raziallahuanhu) k paas le gaya. USMAN-E-GHANI (raziallahuanhu) ne us shakhs ko APNAY saath musnad par baithaya aur poocha tumhara ka kya kaam hai ? us shakhs ne apne kaam ka zikr kiya HAZRAT USMAN-E-GHANI (raziallahuanhu) ne uska kaam kar diya aur farmaya tumne issay pehlay ab tak apne kaam ka zikar nahi kiya tha ? aur farmaya jab bhe tumko kisi kaam ki zaroorat ho aa jana Phir woh shakhs chala gaya aur jab raastay me USMAN BIN HANIF (raziallahuanhu) se us shakhs ki mulaqat hui to us shakhs ne kaha ALLAHTAALA AAP ko behtar jaza de.. NOTE IS POST K DO HISSEY HAIN. Continue AL WASEELA PART 20 Tuhfatuz Zakireen Kitab me Qazi shaukani Aagey likhte hain. الحديث أخرجه البزار كما قال المصنف رحمه الله وهو من حديث ابن مسعود رضي الله عنه قال قال رسول الله صلى الله عليه وسلم إذا انفلتت دابة أحدكم بأرض فالة فليناد يا عباد الله احبسوا فإن الله حاضر في األرض سيحبسه وأخرجه أيضا من حديثه أبو يعلى الموصلي والطبراني وابن السني قال في مجمع الزوائد وفيه معروف بن حسان وهو ضعيف قال النووي في األذكار بعد أن روى هذا الحديث عنكتاب ابن السني قلت وحكى لي بعض شيوخنا الكبار في العلم أنها انفلتت دابته أظنها بغلة وكان يعرف هذا الحديث فقاله فحبسها الله عليه في الحال وكنت أنا مرة مع جماعة فانفلتت معنا بهيمة فعجزوا عنها فقلته فوقفت في الحال بغير سبب وإن أراد عونا فليقل يا عباد الله أعينوا يا عباد الله أعينوا يا عباد الله أعينوا ط الحديث أخرجه الطبراني في الكبير كما قال المصنف رحمه الله وهو من حديث عتبة بن غزوان عن النبي صلى الله عليه وسلم قال إذا ضل على أحدكم شيء وأراد أحدكم عونا وهو بأرض فالة ليس بهاأحد فليقل يا عباد الله أعينوا يا عباد اللهأعينوا يا عباد الله أعينوا فإن لله عباد اليراهم قال في مجمع الزوائد ورجاله وثقوا على ضعف في بعضهم إال أن زيد بن علي لم يدرك عتبة وأخرج البزار من حديث ابن عباس رضي الله عنهما أن رسول الله صلى الله عليه وسلمقال إن لله مالئكة في األرض سوى الحفظة يكتبون ما سقط من ورق الشجر فإذا أصاب أحدكمشيء بأرض فالة فليناد أعينوني يا عباد الله قال في مجمع الزوائد رجاله ثقات وفي الحديث دليل على جواز االستعانة بمن ال يراهم الإنسان من عباد الله من المالئكة وصالحي الجن وليس في ذلك بأس كما يجوز للإنسان أن يستعين ببني آدم إذا عثرت دابته أو انفلتت Translation: Aur agar log kisi veeran jaga par ho, aur Madad ki zarurat ho to is Tarah pukare ki Aye ALLAH ke bando meri madad kijiye to ALLH k chhupe huway bande jo nazar nahi aate, wo madad karte hain. Refrence. Tuhfatuz Zakirin, Page no 38. By Qazi Shawkani. S-H-O SUNNI HANFI ORGANIZATION Dont forget to Subscribe us on youtube/user/786sho dailymotion/786sho Whatsapp users join us 00968-93761198 Continue
Posted on: Mon, 19 Jan 2015 18:06:35 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015