AssalamualaikumWarahmatullahi Wabarkatuhu Munafiqo Ki - TopicsExpress



          

AssalamualaikumWarahmatullahi Wabarkatuhu Munafiqo Ki Pehchan: Hadees: Abdullah Bin Umar(Razi Allahu Ta’ala Anhu) Bayan Karte Hai Ki Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki, “Chaar Aadate Aesi Hai Ki, Jinke Andar Bhi Wo Hongi Wo Munafiq Hoga. Un Chaar Me Se Agar Koi Ek Paayi Jaayegi Toh Uske Andar Nifaaq Ki Ek Aadat Hogi, Yahan Tak Ki Use Chhor De”. (1). Jab Bole Toh Jhoot Bole. (2). Waada Kare Toh Poora NaKare. (3). Lade-Jhagde Toh Gaali Bake. (4). Muaahida(Deal) Kare TohDhoka De. -(Sahih Al-Bukhari, Hadees No.2459) Sabak: Munafiq Wo Log Hote Hai Jin Ke Dil Imaan Se Khaali Hai Lekin Imaan WaalonKo Dhoka Dene Ke Liye Muhh Se (Zabani Tour Par) Imaan Ka Dikhaawa Karte Hai.
Posted on: Wed, 07 Aug 2013 04:43:40 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015