Assalamualakum Warahmatullahe Wabarakatuh, Aaj Humre Maashra Mein - TopicsExpress



          

Assalamualakum Warahmatullahe Wabarakatuh, Aaj Humre Maashra Mein Jo Naapaki Phail Rahi Hai Usko Madde Nazar Rak Kar Yeh Message Likha Gaya... "Maazi" Mein Jo Humre Maashre Ke Halath The Usay Agar "Haal" Se Compare Kare Toh Bhuth Zaida Fark Nazar Aayega.... Maazi Mein Jo Humre Maashre Mein Paakizgi Thi Wo Ab Haal Mein Nahi.... Mere Pyaare Bhaiyo Aaj Kal Zamana Bhuth Kharab Aagaya Hai Iss Zamane Mein Apne Baheno Ki Izzath Khatre Mein Hai Aaj Kal Ke Dour Mein Apne Bahene Mehfooz Nahi hai Aaj Kal Hum Dekh Rahe Hai Apne Baheno Ki Izzath Ke Sath Kaisa Khilwad Kiya Jaa Raha Hai...Abhi Jo Hadesa Hua Apne Bahen Sadia Mubeen Ke Sath Kal Koi Dusri Bahen Ke Sath Ho Sakta Hai...Isliye Mere Pyaare Bhaiyo Hum Hi Hai Jo Apne Baheno Ki Hifazath Kar Sakte Hai Apne Baheno Par Kadi Se Kadi Nazar Rakhe Aur Apne Walidein Ko Bhi Boliye Apne Betiyo Par Nazar Rakhe Rooz Khabr Lete Rahe Apne Bahene Par Nazar Rakhe Ke Kaha Kaha Jaa Rahe Hai Aur Kahin Bhi Ghar Se Bahar Akele Na Jane De Aur Apne Baheno Ko Full Hijaab Mein Rehne Ko Boliye Aur Kahin Bahar Bhi Jaayein Toh Hijaab Ka Ehtemam Kare... Aaj Kal Insaan Ke Roop Mein Janwar Ghoom Rahe Hai Janwaro Ki Nazar Apne Baheno Par Pade Iss Se Acha Hai Ke Apne Baheno Ko Hijaab Mein Rakhe Aur Aaj Kal Hum Yeh Bhi Dekh Rahe Hai Bade Dukh Se Bolna Pad Raha Hai Apne Kuch Bahene Hijaab Painre Par Tight Burqua Aur Jeans Pain Rahe Hai...Agar Apne Bahene Apne Jism Ki Numaish Karenge Toh Buri Nazar Apne Baheno Par Padegi...Isliye Mere Bhaiyo Aur Apne Ghar walo Ko Boliye Apne baheno Ki Zaida se Zaida Hifazath Kare Aur Unko Ache Bure Ki Tehzeeb Sikhaye Aur Khabr Lete Rahe Ke Kaha Jare Aur Ghar Se Bahar Akele Khattye Nikalne Na De...Aur Zaruri Baat Apne Baheno Ko Boliye Ke Khain Bahar Ya College Mein Khane Aur Peene Se Sakht Parez Kare...Apne Baheno Ko Islamic Management Wale Colleges Mein Admission Dilwaye...Aur Walid Sahab Ya Bhai College Jate Rahe Aur Khabar Lete Rahe.... Aur Humre Pyaare Baheno Ap Humre Ke Walidein Aur Hum Bhaiyo Ki Jaan Ho Apse Hi Humre Ghar Ki Izzath Hai Aur Apse Hi Humre Ghar Ki Rounak Hai...Isliye Hum Bhaiyo Ka Aur Walidein Ka Khayal Kate Hua Apna Khayal Kare...Aplog Ke Sath Kuch Galath Hua Toh Hum Bhaiyo Aur Humre Walidein Ko Khoon Ke Aanso Rona Padega...Aaj Ka Hadesa Dekho Humre Ek Bahen Sadiya Mubeen Ke Walda Kaisa Khoon Ke Aanso Roo Rahe Hai...Aur Humre Kuch Bhaiyo Ka Khoon Khoul Utha Hai...Isliye Mere Pyaare Bahene Apna Khayal Rakho Aur Sahi Galath Ko Paichano Kisi Par Bhi Kisi Par Bhi Bharosa Mat Karo Aur Koi Aisa Kaam Mat Karo Ghar Walo Ko Bina Bole Aur Ghar Se Bahar Akele Mat Jaaya Karo Aur Kuch Zaruri Kaam Ho Toh Hi Ghar Se Nikle Woh Bhi Apne Kisi Bhai Se Ya Rishtedar Ke Sath Aur Ek Baat Ka Dhayan Rake Kahin Jare Toh Aplog Full Hijaab Mein Rahe Hijaab Apne Ko Har Buri Nazar Se Bachata Hai Aur Hijaab Ke Naam Par Khata Hi Tight Burqua Na Paine Aur Aplog College Mein Kahin Bhi Gaye Canteen Ya Aur Kahin Apne Doston Ke Sath Jaayein Akele Khata Hi Nahi Jaayein Aur Kahin Bhi College Ya Bahr Kuch Bhi Khane Ya Peene Hai Toh Ghar Se Leke Jaayein Par Bahar College Mein Khatta Hi Nahi Khayein...Dekhe Na Apne Sadiya Mubeen Bahen Ko Hi Kis Tarha Phasaya Gaya Khane Ki Cheez Mein Nasha Awar Dava Milakar.... .....Aur Ek Baat Ka Dhayan De Bahar Ya College Mein Aur Kahin Bhi Ghair Mard Se Mat Baat Karein Agar Kuch Kaam Se Baat Karna Bhi Pade Toh Sakht Andaaz Mein Baat Karein Agar Zurarath Rahi Toh Warna Khata Hi Ghair Mard Se Baat Na Karein Aur Kisi Par Bhi Bharosa Na Karein......College Se Nikalte Waqt Apne Ghar Ko Call Kar Ke College Se Nikale Aur Zaida Se Zaida Doston Ke Sath Rahe Akele Mat Rahein... Humari Pyaari Baheno Inn Baato Par Dhayan De Aur Amal Kare Yeh Jo Bhi Baatein Hai Apki Hifazath Aur Apki Fikar Karte Hue Likhi Gayi.... Allah Tala Humre Pyaare Baheno Ki Hifazath Kare Aur Unki Izzath Aur Aabaro Ki Hifazath Kare Unko Buri Nazar Aur Kuch Insan Ke Roop Mein Janwar Ghoom Rahe Hai Unn Janwaro Se Humre Baheno Ki Hifazath Aata Farmaye... Ameen......Ya Rabbul Alameen..... ADmin: Kiraak Miya Bhai
Posted on: Mon, 30 Sep 2013 17:28:58 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015