Aurangzeb Alamgir ra. Chapter: - 10 Magar jismani - TopicsExpress



          

Aurangzeb Alamgir ra. Chapter: - 10 Magar jismani tarbiyat aur jaanwaro per qabu pane me ise badi maharat hasil thi. HUMAYUN ne akbar ko kam umr me hi paunjab ka governor aur BAIRAM KHAN ko is ka Ataliq muqarrar kar diya tha. AKBAR apne ataliq bairam khan ki muaiyat me sikandar suri k khilaf jung me masroof tha k ise baap ki achanak wafat ki ittela mili_bairam khan ne fauran gorwaspur k muqam per kalanoor me saadi si taqreeb me akbar ko is k aabai takht per baitha diya_khud bairam khan nayeb ul saltanat muqarrar hua_. AKBAR ki takht nashini k waqt Hind-ustan aur khaas kar mughal saltanat aur delhi k haalat bade kharab the.mughal saltanat ka sab se bada dushman SIKANDAR SURI agarcha shikhast kha chuka tha magar is ne itaat qubul na ki thi aur shumali punjab me is k kaee mazboot qile maujood the.malwahbaz bahadur k qabze me tha_ RAJPUTO ne alag sir uthaya tha_junubi hind bhi shumal hi ki tarha tawaif almaluki me mubtela tha wha ki musalman riyaston ki dushman VIJAY NAGAR ki hindu saltanat thi magar wo aapas me bhi bersar pikar rhte the_. Musalsal khana jungi ne mulk ki ikhtesadi haalat tabah kar k rakh di thi.delhi aur agra me qahet padh gaya tha aur taun ki waba bhi insaani zindagiyo ko chaat rhi thi.chunancha akbar ko sikandar suri ki muhim ko tark kar k mazraq me AADIL SHAH k jarnel HEMU BAQAL k muqable per jana pada jis ne delhi k govrnr TURDI BEG ko shikhast de kr delhi aur agra pr qabzA kar liya tha.Bairam khan ne amra k tamam buzdilana mashore radd kar diye aur hemu baqal se muqable ke liye MUGHAL LASHKAR ko pani path k mashoor maidan ki taraf rawana kar diya_ MUGHALO k muqable me AFGHANO ka lashkar zyada tedad me tha jin me 1500 jungi haathi bhi the. Is tarha akbar ki takht nashini k sirf 8 maah bad mughalo aur afghano me pani path ki duari jung hui jis me pahle afghano k lashkar ne mughal semz aur maisra ko dabaya magar hemu baqal jo hathi per sawar tha ki aankh me ek teer laga aur wo behosh ho kar hodaj me gir gaya. Afghai lashkar samjha k hemu mara gaya is liye fauj maidan chod bhagi aur afghano ki dobara hukumat ka khawab phir kabhi sharmindah tabeer na ho saka. AKBAR ne jab 18ve saal me qadam rakha to is k dimag me ek azad badshah aur shahenshah banne ka khayal paida hua_is ne bairam Khan ko jo is ka mohsin tha nayeb ul saltanat k ahode se maazool kar k saltanat ki bhaag daud apne haat me le li_bairam khan ne bahot haat pair mare magar is ki ek na chali_bairam khan k asar se azaad hote hi wo apni dayee maham anga k zer e asar aa gaya ye asar chaar saal tak qayam raha is ahad ko akbar ka ZANANA AHAD E HUKUMAT k naam se yaad kiya jaata hai. Is zanane ahad hukumat me maham anga k bete adham khan ne bahot udham machaya_akbar ne tang aakar adham khan ko qile ki diwar se sir k bal niche phikwa k khatm kara diya. Akbar agarcha anpadh tha lekin bada zahin tha is ki zahanat ne ise khud sir aur matlaqul anaan bana diya_wo agarcha maa aur baap dono taraf se musalman tha magar islami riwayat k wo yaksar khilaf tha_is ne Rajputo se is qadar rabt wa zabt paida kiya k in k rang me khud rang gaya aur hinduon ke taur tariqe ikhtiyar kar liya phir deen e ilahi k naam se ek naya mazhab raej karne ki koshish ki magar nakam raha_. Ye kaha jata hai aur sach hi kaha jata hai k akbar ne mazhab e islam ko jis qadar nuqsaan pahonchaya itna nuqsaan gair muslimo ne bhi nhi pahonchaya tha_akbar sabah ko suraj ki pooja karta aur log i(khaaa kar hindu) ise devta ki tarha pujte the_is kufr wa shirk k baujood is ne rajputo ko zer kiya aur in fatuhaat k balbute per AKBAR E AAZAM ban gaya.humayun k ahad e hukumat tak bersagir me ISLAM ka jo charcha tha akbar ne apne aamal se ise sakht nukhsan pahonchaya ye akbar ki khush nasibi thi k ise bersagir k bahtrin dimago,danishwaro aur salaro ka taun kasil tha_todarmal,Birbal,faizi,abul fazal,abdul nabi,aur raja maan singh wagaira aise aali dimag log the jo akbar ki azeem saltanat k sutoon bane hue the. AKHIR akbar 50 saal hukumat karne k baad 63 saal ki umr me is jahan faani se 1605 me kooch kar gaya. AKBAR umar k 26 saal tak be-aulad raha phir is ne Agra k qarib sekri ke ilaqe me ek buzurg SALIM CHISHTI ki khidmat me hazri di.is se pahle wo KHWAJA GHARIB NAWAZ CHISHTI AJMERI ki dargah per bhi kaee baar haazri de chuka tha.ek dafa to sakht dhoop me wo paidal ajmer gaya tha.-bahere haal buzurgo ki duaon se ALLAH ne ise chaand sa beta diya_ Akbar ne sekri k buzurg salim chishti k naam per bacche ka naam SALIM rakha aur ise SHANJU BABA k naam se mukhatib krta tha...
Posted on: Sat, 24 Jan 2015 06:57:24 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015