{ Aye musalman Kash k Tu ne Kuch to Fikre Aakhirat ki - TopicsExpress



          

{ Aye musalman Kash k Tu ne Kuch to Fikre Aakhirat ki Hoti}------------ Youmul Hasrt (Afsos): Qayamat ka din kuffar aur fussaq o fujjar k liye shadeed hasrt aur pachtawe ka dinhoga, insan hasrt o yaas (na ummidi, mayusi, khowf) k sath apni nakami per aansu bahaye ga, Quran Majid me Qayamatk roz insan ki un hasraton aur pachtawo ka Allah Tala ne ja baja zikr farmaya hai Chnd muqamat ka tarjuma paish khidmat hai. • Kash! Mera aamal nama mujhe nadiya jata, mai na janta k mera hisab kya hai, kash! Duniya ki mouthi faisla kun hoti.(surah:haqqah, aayat no:25 to 27) • Kash! Roze jaza bahot door hota.(surah:imran, aayat no:30) • Kash! Zameen phath jaye aur maius me sama jaon.(surah:nisa, aayat no:42) •Kash! Meri aoulad, meri biwi, mera bhai, merakhandan aur duniya k sare log pakad liye jaye aur mai riha ho jaon.(surah:ma’arij,aayat no:11 to 14) • Kash! Allah Tala hamare aazab me aik din ki hi kami karde.(surah:momin, aayat no:49) • Aye kash mai mitti hota.(surah:naba, aayat no:40) • Hum apne gunahon ka aateraf karte hai ab yahan se koi nikalne ka rasta hai? (surah:momin, aayat no:11) • Us roz zalim (hasrt aur pachtawe ki wajeh se) apne haton ko chabayega.(surah:furqan, aayat no:27) • Haye afsos! Qayamat k muamle me ham se sakht galati hui.(surah:an’am, aayat no:31) • Aap s.a.w ka irshad mubarak hai “ jahannami (hasrt aur pachtawe kiwajeh se) jahannam me is qadar aansu bahayen ge k agar un me kashtiya chalai jaye to chalne lagen.”(hakim) • Aik hadees me aap s.a.w ne farmaya “Jannat aur Jahannam me chale jane k baad jab mout ko sab k samne zabah kardiya jayega to jahannamiyon ko is qadar gam aur pachtawa lahaq hoga k agar gam se marna mumkin hota to marjate.(tirmizi) Sawal ye hai k In Hasrt aurPachtawe se do char hone ka sababkya hoga? Is ka zikr bhi Allah Tala ne khud Quran Majid me kardiya hai. Is ki wujuhat darj zail hogi. • Kash! Mai ne Rasool ki rah ekhtiyar ki hoti, kash! Mai ne fula fula (gumrah aadmi) ko dost na banaya hota.(surah:furqan, aayat no:27-28) • Kash! Mai Allah ki janab me Gustakhiya na karta (aur islami ehkam) ka mazak na udata.(surah:zumar, aayat no:56) • Kash! Hum acchi tarah sunte aur aqal se kam lete to aaj jahannamiyon me shamil na hote.(surah:mulk, aayat no:10) • Kash! Mai ne apni zindagi k liye kuch aage bheja hota.(surah:fajr, aayat no:24) • Kash! Ham ne Allah aur us k Rasool ki ita’at ki hoti.(surah:ahzab, aayat no:66) Tamam nukat ko ikhatta kiya jaye to is ka khulasa ye hoga k Qayamatk roz is dard naak anjam aur almnaak pachtawe ka sabab sirf aikhi hoga. “ Allah aur us k Rasool s.a.w ki Nafarmani”. ALLAH azwajjal hame bachayen. maximum shares shahid sahab
Posted on: Thu, 01 Aug 2013 14:23:05 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015