Aye sanam sun le meri dhadkane aaj tu.. kya pata inhe sunane ke - TopicsExpress



          

Aye sanam sun le meri dhadkane aaj tu.. kya pata inhe sunane ke liye main kal rahu ya na rahu.. padh le in ankho se chupe hue pyar ko kya pata inhe dikhane ke liye kal ankhe khule ya na khule.... ek bar lag ja aa ke tu gale kya pata gale lagane ko kal ye jism rahe ya na rahe.... kar le mehsus in sanso ko jo pal pal tujhe yad karti hai.. kya pata zindagi kakal ye sanse rahe ya na rahe... Dekh sakti hai to dekh le sapne apne sath ke kya pata kal tute sapne…. aur main dikhane ko bachu ya na bachu Rok sakti hai to rok le aj mujhe kya pata kal mere zanaze ko leke jane waleruke ya na ruke... Chu sakti hai to chu le aj mujhe kya pata kal rakh me mile sharir aur tu chu sake ya na chu sake.
Posted on: Mon, 09 Sep 2013 17:25:16 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015