*BABRI MASJID KA SACH (HAQIQAT KO KOI JHUTLAA NAHI SAKTAA)*Ayodhya - TopicsExpress



          

*BABRI MASJID KA SACH (HAQIQAT KO KOI JHUTLAA NAHI SAKTAA)*Ayodhya a Mein RAM kaa Janam nahi huwa tha yeh saabit kar sakte hai hum........Ram ki Maa Koushalyaa Haryaana ki rehne waali thi Aur Hindu Dharm ke Mutaabiq Pehla Baccha Mehke (Haryaana) me huwa tha.......Toh Jab Haryaana me huwa toh Kyun Aapas me Zaat-paat ke Naam se Yeh Pandit aur Leader log Hindustan ke Aman-o- Amaan kharaab kar rahe hai......Kyun Log Ek Dusre ke khoon ke pyaase ho gaye hai.......Balki Ram kaa Janam Hindu Dharm ke Hisaab se Haryaana me huwaa.......1)1 528 me meer baque ne babri masjid banwayi aur namaz ka silsila shuru kiya, Tuzk Babri aur Babarnama men mandir ko todne ka zikr nahi hai.. 2 - 1575 me TULSI DAS ne RAMCHARIT MANASlikhi magar kisi bhi mandir ke todne kazikr nahi kiya. 3 - babar ke mukhalifeen aur uske daur ke guru nanak ne bhi mandir todne ka zikr nahikiya jabki nanak ne ayodhya (jahan babri masjid thi) me kuch samay (waqt) bitaya tha. 4 - 1857 men masjid ke baghal men deewar utha kar khali plot me se 1 hissa hinduo ko dediya gaya. 5 - 1883 ki may month men hinduo ne us hisse men mandir banana chaha magar govtne permission nahi di. 6 - 1885 24 dec.. Ko court ne hinduo ki mandir banane ki arzi radd kar di, hinduo nekhud use babri masjid likha us waqt tak hinduo ka babri masjid par koi dawa nahi tha. 7 - 1886 26 march.. ko court ne hinduo ki appeal bhi kharij kar di8 - 1877 pahli bar faizabad grant ne H.R.NAVAIL ne bina kisi gawah ke ye note chadhaya "1528 men babar ne 1 hafta ayodhya men bitaya mandir dhahaya aur masjid ka nirman (taameer) karaya.... "jabki itihasik (tareekhi) sabooto ke anusar (mutabiq) babar kabhi ayodhya gaya hi nahi.uska ayodhya se nikattam prawas (nazdeeki makan) 110 k.m. Door tha jaha se wo guzra tha. 9 - 1934 hindu- muslim dango ke dauran babri masjid ko nuksan pahuncha. 10 - 1949 22 dec. Ki rat me masjid ke andar murtiya rakh di gai. 23 dec.ko court ne tala dalwa diya,musalmanok e ander jane par rok aur hinduo ko pooja ki anumati (ijazat) dekar pahli bar masjid vivadi bana di gai 11 - 1950 16 jan. Ko musalmano ne masjid bahali ke liye court me sampark (rabta) kiya, magar court ne murti na hatakar hinduo ke puja-path ko barkarar rakha. 12 - 1951 1 july ko court me dy comissioner s.p. Ka bayan ki yeh babri masjid hai aur musalman 1925 se 1949 tak yahan namaz ada karte rahe hai. 13 - 1986 27 jan ko faizabad court me hinduo ne babri masjid par kabze ke liye arzidi. 28 jan ke court adesh (hukm) hua ki tamam cases high court transfer ho gaye isliye arzi radd ki gai. 14 - 1986 30,31 jan ko order ki khilaf districtjudge ke yahan appeal ki gai.musalmano ne bhi arziya di sab radd kar di gai.15 - 1 feb ko high court ki parwah na karte hue district judge ne 4 baj kar 45 minut par tala kholne ka hukm de diya. 5 baj kar 12 minut par tala khola gaya aur puja- path shuru kar diya gaya, 2 baje se hi faizabad me P.A.C. ki 7 company tainat kar di gai thi, muslim ilaako ko gher liyagaya aur raat me t.v. Par puja aur darshan telecast kiya gaya, nateeje me india me dange bhadak uthe. 16 - 1989 nov me high court ne babri masjidse mili hui jagah ko jyo ka tyo rakhne ka hukm diya magar usi jagah par shilanyas (bunyad) ki rasam ki gai. 17 - 1990 sep. Me advani ke zariye hinduo ko bhadkane par somnath se ayodhya tak rath yatra ka program. 23 oct ko bihar ki lalu parsad govt ne advani ko arrest kar liya. 18 - 1991 oct me govt ne masjid ki 7.22 acrezameen aquire kar li. 19 - 1991 nov. Me supreme court ka u.p. Govt ko order ki masjid ko jyo ka tyo rahne diya jaye. 20 - 1992 may se july tak kalyan singh ke aguwayi wali B.J.P hukoomat U.P govt mandir banane ke liye vivadit jagah (jhagde wali jagah) par tamiri kam jari rakhti hai. 22 july ko supreme court ke sakht hukm ke jawab me govt apni vivashta (lachari) prakat (zahir) karti hai parantu (magar) tameeri kam jari rahta hai. Nov me u.p govt aur sampradayik sangathansuprem e court ko yaqeen dilate hain ki nirman karya nahi hoga, babri masjid mahfooz rahegi aur uski hifazat ki jayegi. 6 december ko u.p. Govt ki sarparasti, centralgovt ki maun sweekriti (khamosh rezamandi) aur sampradayik partiyo ki shah par pahle se tai plan ke tahat sampradayik n ugrawadi karsewak 5 gahnte ne babri masjidko shaheed kar dete hai. 21 - EK REPORT KE MUTABIK AYODHYA CITY KE 23 MANDIRO KE PUJARI KA DAVA HAI KE BHAGWAN RAM KA JANAM YAHA PAR HE HUVA HAI (MATLAB HAR MANDIR KA PUJARI YAHI BOLTA HAI KE BHAGWAN RAM KA JANAM UN KEHE MANDIR ME HUVA HAI) Jo Yeh Kahte Hain Babri Masjid Mandir Tod KarBanai Gai Hai Unse Bada Jhoonta Koi Nahi Hai.......HAQIQ AT KO KOI JHUTLAA NaHI SAKTAA......... !!
Posted on: Sat, 20 Jul 2013 14:23:07 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015