BISMILLAH-IRRAHMAN-NIRRAHIM Allahumma Aghfirli, wa Arhamni , wa - TopicsExpress



          

BISMILLAH-IRRAHMAN-NIRRAHIM Allahumma Aghfirli, wa Arhamni , wa Aafini, Wa Ahdini, wa Arzuqni ---------------------------- Aajkal dekha gaya hai ki kuch log apni namaz achchi tarah ada nahi kartey , yani ruku aur sazda fast fast kartey hain specially taraweeh ki namazo mein to kuch imam sahab to hadd hi kar dete hain pahley to wo aisa superfast Quran padtey hain ki alfaz samajh hi nahi aatey jabki Allah subhanahu ne farmaya hai ki {" Quran ko thahar thahar kar pada karo - Al Muzammil (73) , Aayat 4 "} uskey baad ruku aur sazdey bhi superfast yani jaisey hi ruku se sir uthatey hain foran sazdey mein chale jatey hain aur becharey kuch buzurg log abhi puri tarah khadey bhi nahi huye hotey hain ki imam sahab sazda kar detey hain aur phir ek sazda kartey hi foran dusra sazda kar detey hain , koi gap nahi dete Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne aisee namaz padney waley ko kaha tha ki tumhari namaz hi nahi huyee aur usey dobara namaz padney bheja Hadith: Zaid binWahb Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Hudhaifa bin yaman Radi Allahu Anhu ne ek shakh ko dekha ki na rukooo puri tarah karta hai aur na sazda, isliye Aapney us sey kaha ki tumney namaz hi nahi padi aur agar tum mar gaye to tumhari maut us sunnat (ya Deen) par nahi hogi jis par Allah subhanahu ne Muhamaad Sallallahu Alaihi Wasallam ko paida kiya tha {Sahih Bukhari, Vol1, 791} Hadith: Al Bara Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ke ruku , Sazda , ruku se sir uthaney ke baad ka waqt aur dono Sazdo ke darmiyan baithney ka waqt barabar hota tha {Sahih Bukhari, Vol1, 801} Hadith: Abdullah ibn Abbas radi allahu anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam Do sazdo ke darmiyan ye dua padte they اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي وَارْحَمْنِي وَعَافِنِي وَاهْدِنِي وَارْزُقْنِي Allahumma Aghfirli, wa Arhamni , wa Aafini, Wa Ahdini, wa Arzuqni (Eh Allah mujhe baksh de aur mujh par raham farma aur mujhe Aafiyat de aur mujhe Hidayat de aur mujhe Rizq ata farma) {Sunan Abu Dawud, Vol 1 , 842–Hasan} Hadith: Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ek baar masjid mein tashreef farma they ki ek Shakhs aaya aur namaz padney laga namaz ke baad usney aakar Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ko salam kiya Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne salam ka jawab dekar farmaya wapas jakar dobara namaz pad kyunki tunye namaz nahi padi, Usney phir se namaz padi aur wapas aakar dobara salam kiya to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne is martaba bhi yahi farmaya ki dobara namaz pad kyunki tunye namaz nahi padi teen baar isi tarah hua aakhir mein us shakhs ne kaha ki us zaat ki kasam jisney aapko sach ke saath bheja hai main to is sey achchi tarah namaz nahi pad sakta isliye aap mujhe sikhla dijiye Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab tu namaz ke liye khada ho to takbeer (Allahu Akbar) kah phir Quran majeed se jo kuch ho sakye pad uskey baad ruku kar aur puri tarah ruku mein chala ja phir sir utha aur puri tarah khada ho ja phir jab tu sazda karey to puri tarah sazdey mein chala ja , phir sire utha kar achchi tarah baith ja dobara bhi isi tarah sazda kar yahi tareeqa Namaz ki tamam (rakaato mein) ikhtiyar kar {Sahih Bukhari, Vol 1, 793}
Posted on: Thu, 25 Jul 2013 21:18:11 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015