BLISSFUL REVISION OF HOLY BLESSINGS ON 19TH OCT-14 IN DELHI & OUR - TopicsExpress



          

BLISSFUL REVISION OF HOLY BLESSINGS ON 19TH OCT-14 IN DELHI & OUR RUN FOR ONENESS Dhan Nirankar ji, Saints here i feel pleased to share Holy Blessings of His Holiness Nirankari Baba ji showered in Delhi on Sunday 19th Oct-14. Also for your kind information Coming Sunday 26th Oct-14 Our Sant Nirankari Charitable Foundation is going to Organize a Run For Oneness which will start from National Stadium, Near India Gate, New Delhi at 7.00 Am (IST) Early morning there in India. Saints who wish can convey their near & Dear Ones living in Delhi & Surrounding areas regarding this Blissful event. Anyone can participate in this Run after getting Registered. For your convenience I have attached couple of pictures with information regarding registration, Venue,Timings & Directions of this most Auspicious Event going to be held right before Our Annual Nirankari Sant Samagam on 15-16-17 November-14, which is going to be held in huge Samagam Grounds located at Burari Road, Near Nirankari Chownk, Delhi. Summary of Holy Blessings of His Holiness Nirankari Baba Ji (19-Oct-14, Delhi)- Sadh Sangat Ji Prem se kehna Dhan nirankar Ji 1) Aap unhi maidaano me upasthit hain jinn maidaano mein lagataar sewaayein chal rahi hain jahaan vishal Samagam ka aayojan hai. Subah se raat tak utsaah ke saath yahaan sabhi sewayein samarpit kar rahe hain. Aisi lagan jo bahkto ke hirdey mein hoti hai, yahaan par apni den iss sewa ka roop mein de rahe hain taaki sunder roop inn maidaano mein bane aur laakho bhakto ko sahulat ho. Tan ki sewa mein utsah hain aur dhan roop mein bhi Bhakt yogdaan de rahe hain aur manno mein bhi utsaah hai, isliye tan-mann-dhan ko pavitrata mil rahi hai, kyunki inko pavitrata tabhi milti hai jab ye paropkaar mein lagte hain, varna toh tan, mann aur dhan ka durupyog hi hota hai. Par Bhakt hitkaari hote hain aur yehi parhit karna jaante hain. 2) Aneko yoniyaan hain jinka aakaar ek doosre se nahi milta jaise gaaye(cow), bhains ya ghoda. Lekin maanav jaati ko ek aisa akaaar pradaan kiya hai jisme samaanta hai. Manmukh aur Bhakto ka bhi aakaar ek jaisa hota hai lekin Bhakto ka maarg aur hota hai. Sant jo raasta chunte hain vo lok aur parlok ko sanwaarne waala hota hai, iss duniya ko sunder den dene waala hota hai. 3) Sant vyarth jeevan nahi jeete hain. Cactus ek podha hai jisme itne kaante lage hote hain lekin phir bhi usko sajaawat ke liye chuna jaata hai. America mein bahut sunder roop se cactus ko saje hue dekha. Cactus jab sajaye jaate hain toh bhi sunder lagta hain. Lekin inssaan jab kaante ka roop banta hai toh achcha nahi lagta hai. Isliye insaan ek samaaj aur desh ke liye ek sunder roop hi bane, kaante waala roop na bane. 4) Samagam bhi aayojan kiya ja raha hai aur abhi Run for Oneness ka bhi zikr vistaar roop se suna. Toh, to reach each and every human being and to reach every nook and corner in the world, aide prayaas kiye jaate hain. Toh Mission ki soch samay ke anusaar chalti hai aur ye medium apnaye jaate hain taaki poore vishv mein ye sandesh diya ja sake. Aaj bhi Connaught Place mein ye Oneness ka naara diya gaya jismein youngsters pahunche aur ye sunder naara diya gaya. Lekin samaaj mein youngsters ke vo bhi roop hain jo giraane waale hain. Smoke aur drinks ke bagair nahi reh sakte, aise yuvaon ki bhi ginti badti chali ja rahi hai. Yuvaon koi soch sunder ho, uske liye hi aise Samagam aur aise events saamne aa rahe hain. 5) Sabhi sunder yogdaan dete jaayein, desh mein majbooti aaye aur sabhi jeevan ke ek-ek pal ko sunder roop dete chale jaayein, yahi ek prarthna aur ardaas ki ja rahi hai. Dataar sabhi ko tan-mann-dhan ki samarthaeyin de, jahaan sahulat ke saath jeevan ki yaatra ho, vahin paropkar mein bhi yogdaan ho, kahi par bhi aalas ya mann ko kamjori baadha na bane, utsaah bane rahein aur yogdaan sabhi bacho ka, kishorawastha waalon ka, buzurgo ka, aur behno, bachiyaon ka yogdaan jo dikh raha hai, vo sewa aur prachaar mein dikhta chala jaaye. Irrespective of age factor, jazbe dikh rahe hain aur koi aise jazbon se vanchit na hon. 6) Itna bada kaarye mil-julkar hi sambjav hai. Chata ho ya bada, sabhi ki zarurat padti hai aur sabhi ki mahetta hai. Daas pagdi baanta hai aur usko tight rakhne ke liye pins ki zaroorat hoti hai, jiske bagair pagdi tik nahi paati hai. Isi prakaar se chote se bache ki bhi mahetta hai. Ek bache ke bhi daas bankar rahein. Gyan ki drishti aur aisi shikshayein mili hain ki kisi ko humne fizool nahin mannana hai. Pyar ka ehsaas sabke liye rahe tabhi mukammalta milti hai. Toh yahi ardaas ki Dataar sabhi ko samartha de. Sadh Sangat Ji Dhan Nirankar Ji Seeking Blessings & Forgiveness for my Shortcomings, Charandhool, Pali Noor (Tracy) Sent via the Samsung GALAXY S 4. an AT&T 4G LTE smartphone
Posted on: Tue, 21 Oct 2014 00:50:57 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015