Bhartiya Nausena Divas Ki Hardik Shubhkamna. Today is Nausena - TopicsExpress



          

Bhartiya Nausena Divas Ki Hardik Shubhkamna. Today is Nausena Divas in History of India Duniya me Nausena Shakti me Bharat Duniya ki panchvi sabse badi takat hai..... hamare paas 55000 se jyada sainik, 01 viman vahak pot INS VIRAT, 150 Nausena jahaj, 122 helicoptor, 08 vidhwanshak Pot, 15 Pandubbiyan, 12 jungy Pot, 31 Nigrani hawai jahaj, 07 bade bandargaah or terminal, 08 surang bhedi jahaj, 20 Ubhaychari aakramak jahaj hain..... $$$$$$$$$$$ HISTORY $$$$$$$$$$$$$ Bharatiya Nausena ki shuruaat 05 september 1612 ko hui thi, is din east india co. ke ladakoo jahajo ka pahla beda Surat ke bandargaah pahucha, ye beda The hounorable east india comoanies marien kahlata tha, baad me ye The Bombay Marien kahlaya, pahle vishwa yuddh ke dauran iska naam Royal Indian Marien rakha gaya, 26 january 1950 ko Bharat Republic bana or Nausena ne Royal naam ko tyag diya, us samay Bharatiya Nausena me 32 paribahan Pot or lagbhag 11000 Adhikari or Nausainik the, Bharatiya Nausena ke pahle Commander- in-chief Real Admiral ITS Hall the, or pahle CNS Vice Admiral RD katari the. 1965 Bharat- Pak yuddh me Nausena sirf samudra ki nigrani karti rahi .. 1971 Bharat- Pak yuddh me Bharatiya viman vahak pot INS Vikrant Bangal ki khadi me West Pak ko rokne ko tainat tha, isko nasht karne ko Pak ne Gaji pandubbi ko bheja lekin Bharatiya Nausena ne ise Andhra Pradesh ke paas hi nasht kar diya or West Pak par hamla kar kai Pak jahaj nasht kar diye.. 1988 me Bharatiya Nausena ne Tamil vidrohiyon dwara Maldiv ka takhta palatne ke mansubon par pani phera.. 1999 me Bharatiya Nausena ke Coust Gaurd ne Japan ke ek kargo jahaj ko luteron se mukt karaya.. 1999 Kargil yuddh ke dauran Nausena ne Talwar abhiyan chalaya jiska maksad Pak ke samudri vyapar ko rokna tha.. 2001 Sansad hamle ke dauran Nausena ke 12 se adhik jahaj morche par lagaye gaye.. 5717 km. lambi hai Bharat ki samudri seema.
Posted on: Wed, 04 Dec 2013 06:18:03 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015