Bismillah hir-Rahman nir-Rahim Hadith: Achchey Khwab Allah ki - TopicsExpress



          

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim Hadith: Achchey Khwab Allah ki taraf se hote hain aur bura shaitan ki taraf se ------------------------------------------------- Urdu translate : Hazrat Abu Said Khudri Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab tum mein se koi aisa khwab dekhey jisey wo pasand karta ho to wo Allah subhanahu ki taraf se hota hai is par Allah ki Hamd (shukr ada) karey aur dusron ko bata de Lekin agar koi aisa khawab dekhta hai jo usey napasand ho to ye shaitan ki taraf se hota hai isliye uski buraii se pannah maangey aur kisi se us khwab ka zikr na karey , ye khwab usey kuch nuksaan nahi pahucha sakega. {Sahih Bukhari, Vol 8, 6985} ------------------------------------------ English translate : Narrated Abu Said Al-Khudri Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, If anyone of you sees a dream that he likes, then it is from Allah, and he should thank Allah for it and narrate it to others; but if he sees something else, i.e., a dream that he dislikes, then it is from Satan, and he should seek refuge with Allah from its evil, and he should not mention it to anybody, for it will not harm him. {Sahih Bukhari, Vol 9, Book 87, No. 114}
Posted on: Sun, 01 Dec 2013 02:40:31 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015