Bismillah hir-Rahman nir-Rahim Hadith: Neik Dost aur Burey Dost - TopicsExpress



          

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim Hadith: Neik Dost aur Burey Dost ki Misaal _________________ Abu Musa Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya neik saathi (dost) aur burey saathi (dost) ki misal mushk bechney waley attar aur lohar jaisee hai, mushk bechney waley ke paas se tum do achchaeeyon mein se ek na ek Zarur pa logey ya to mushk hi kharid logey ya kam se kam mushk ki khushbu to Zarur pa logey lekin lohar ki bhatti tumharey badan ya kapdey ko jhulsa degi ya uski tum badbu pa logey. {Sahih Bukhari, Vol 3, 2101} Eh Imaan walo musalmano ko chor kar kaafiron ko Apna Dost na banao, kya tum ye chahtey ho ki Apney upar Allah ka sareeh ilzaam lo. {Al Quran, An-Nisa, Chapter #4, Verse #144} Eh Imaan walo Yahud aur nasaara (christian) ko apna dost na banao wo aapas mein ek dusrey ke dost hain aur jo koi tummein se unkey saath dosti karega to wo unmein se hai , beshaq Allah Zalimo ko hidayat nahi karta {Al Quran, Al-Maeda, Chapter #5, Verse #51} -------------------- Like us:https://facebook/JoinOnlyQuranHadith -----------------
Posted on: Sun, 27 Oct 2013 03:43:45 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015