Bismillahirrahemannirraheem Abu Sayeed Khudri r.a. Nabi Kareem - TopicsExpress



          

Bismillahirrahemannirraheem Abu Sayeed Khudri r.a. Nabi Kareem (s.a.w.s.) se riwayat karte hai . App (s.a.w.s..) ne Farmaya tum rastoo par baithne se parehez karo ,logo ne arz kiya kiya hamare liye is ke siwa koi charah nahi hum wahi baith te hai aur batain karte hai ,Aap (s.a.w.s.) ne frmaya k jab tum baithne par majboor ho tu raste ko us ka haq ada karo , logo ne arz kiya raste ka haq kiya hai ? aap (s.a.w.s.) ne farmaya nighaye nichi rakhna ,izzah rasani se rokna, salam ka jawab dena ,aur acchi batoo ka hukum dena aur buri batoo se rokna . Ravi : maz bin fazallah ,abu umer ,hafaz bin musera ,zaid bin aslama ,ata bin yasaar, abu sayeed khudri. Bukhari : 1/2303 , baab : Giri padhi chizain uthane ka bayan.
Posted on: Wed, 17 Jul 2013 05:09:25 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015