Bismillahirrahmanirrahim Hadith: Hoshiyar raho koi tum mein se - TopicsExpress



          

Bismillahirrahmanirrahim Hadith: Hoshiyar raho koi tum mein se aisa na ho mere pass(Hauj par) aaye phir hataya jaye jaise bhatka hua oont hataya jata hai --------------------- Hazrat Ummul Momineen Salma Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Alaihi Wasallam ne farmaya main tumhara pesh khaima hunga Hauz par to tum Hoshiyar raho koi tum mein se aisa na ho mere pass aaye phir hataya jaye jaise bhatka hua oont hataya jata hai main kahunga ye kyun hataye jatey hain jawab milega tumhe malum nahi unhone Nayee nayee batein nikalee tumhare baad ( tarah tarah ki Bidatein) Aaitqad aur amal mein Main kahunga to dur ho Sahih Muslim , Vol 6, 5974 Umma Aayesha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya jisney hamarey Deen mein aisee baat ka Ezafa kiya jo usmein nahi to uski baat Qubul nahi hai(Sahih) Sunan Ibn Majah, Vol 1 , #14 Abdullah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya main Hauj-e-kausar par tum logo ka paish khaima (predecessor) hunga aur tum mein se kuch log meri taraf aayengey jab main unhey hauj ka pani deney ke liye jhukunga to unhey mere samney se kheench liya jayega main kahunga ki Eh mere Rab ye to meri ummat ke log hain. Allah taala farmayega Aapko maaluum nahi, ke unhoney aapkey baad deen mein kya nayee batein nikal li thi. Sahih Bukhari, Vol 8, 7049 Jabir bin Abdullah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya sabse behtar amr (amal ke liye) Allah ki kitab hai aur sabse behtar tareeqa Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ke tareeqa hai sabse badtareen kaam Deen mein nayee nayee baton ka paida karna hai aur har Nayee baat gumrahi hai aur farmaya ki jis shaksh ne marney ke baad maal chorha wo uskei warison ka hai aur jisney karz ya Ayaal ( children) chorhey wo mere zimmey hai Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 45 (Sahih) --------------------- English Translation: Umm Salma Radi Allahu Anha, the wife of Allahs Apostle may peace be upon him said Allahs Messenger may peace be upon him said: I shall be your harbinger on the Cistern; therefore, be cautious lest one of you should come (to me) and may be driven away like a stray camel. I would ask the reasons, and it would be said to me: You dont know what innovations they made after you. And I would then also say: Be away. Sahi Muslim, Book 030, Number 5686
Posted on: Wed, 08 Oct 2014 17:47:48 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015