Bohat hi yaad aata hai mere Dil ko tarpaata hai... woh tera - TopicsExpress



          

Bohat hi yaad aata hai mere Dil ko tarpaata hai... woh tera paas na hona bohat mujh ko rulaata hai... woh mera teri aankhon k samander main uttar jaana aur teri muskurahat ke bhanwar main doobte jaana... teri awaaz k sehar se na nikal paana tujh ko dekhna aur be-khudi se dekhte jaana... bohat chaha in guzre hue lamhon ko na sochoon na teri yaad main reh k tere saath ka sochoon... bhoola doon saari yaadon ko ke jin se Dil tarapta hai k jin se thees utth ti hai k jin se dard hota hai... magar jab raat aati hai to teri yaad aati hai terey hi khuwaab hote hain teri hi baat hoti hai... tou tay paaya ab mumkin nahi tujh ko bhoola dena teri yaad main rehna tujhe hi sochte rehna... tujhe jab yaad karte hain to Dil apna tarapta hai woh tera paas na hona bohat mehsoos hota ha... Miss u so much :(
Posted on: Fri, 05 Dec 2014 09:12:55 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015