Buzurgan-e-deen ki Mubarak zindagi ( Life, History ) ™ ( Part - TopicsExpress



          

Buzurgan-e-deen ki Mubarak zindagi ( Life, History ) ™ ( Part 51) Emaam Ahmad Raza Khan rehmatullahi alaihi ************************************************************************** Aap ne 55 se ziyada uloom par taqriban 1000 kitaabe likhi hain. Un me se kuchh kitaabe mashhoor hain : (1) Fatawa Radhvia (12 Jild) (2) Ahkame Shariat (3) Malfuzat (4) Husamul Harmain (5) Fatawa Harmain (6) Addaulatul Makkiyah (7) Al Fuyuzaatul Makkiya (8) Azzubdatuz Zakiyya (9) Al-Ijaazatul Mateenah (10) Kiflul Faqeeh Aap ne bahut saari mahshoor Hamde baari ta’ala, Naate Mustafa, Manqabat, Munajaat likhi hain. *********** Aap Hazrat Sayyed Shah Aale Rasool Mahrerawi Qadri rehmatullahi alaihi ke mureed aur khalifa hain. Aap se Tareeqat ka Silsila e Razawiya jaari hai. *********** Aap ke 2 beto ke ilawa aap ke bahut saare shagird hain, Jin me Sadrus Shariah Amjad Ali al-A’zami, Muhaddise aazam Sayyed Muhammad Kachauchhwi, Allama Hashmat Ali Khan, Malik al- Ulema Zafaruddin Bihari, Qutbe Madina Ziya’uddin Ahmad al-Madani mashhoor hain. *********** Aap ke wisal ke kuchh waqt pehle Sham (Syria) ke kisi wali ne Baitul Muqaddas me khwab me dekha ke Huzoore akram sallallahu alaihi wa sallam ki mehfil me aap ke aas-paas kuchh ashaba bethe hai jaise wo kisi ka intazar kar rahe the. Unho ne puchha ‘Ya Rasoolallah sallallahu alaihi wa sallam, Aap kis ka intazar kar rahe hain? Aap ne farmaya ke ‘Ahmad Raza Khan.’ Unho ne puchha ‘Ahmad Raza Khan kaun hain?’ Aap ne farmaya ke ‘Hindustan ke Bareilly ka ek aalim.’ Jab unki aankh khuli to foran Syria se Bareilly aane ke liye nikal pade. Lekin jab wow aha pahunche to pata chala ke Imam Ahmad Raza Khan ka inteqal ho chukka tha. *********** Aap ne wisal se pehle wasiyat ki thi ke meri namaze janaza Maulana Haamid Raza Khan ya Allama Amjad Ali padhayen aur mere janaza ko ‘Kaabe ke Badru Duja’ padhte hue le jaayen aur meri qabr ko itni gehri banana jitni meri unchaai hai. Apne wisal ke 42 minute pehle aap ne farmaya ‘Mere kamre se paisa, lifafa, card wagairah hata do kyun ke us par tasweer bani hoti hai.’ *********** Aap ka wisal 25 Safar 1340 Hijri (28 October 1921 ) ko azane Jum’ah ke dauran 65 baras ki umr me hua. Aap ka mazaar Bareilly Shareef (Uttar pradesh) me hai. *********** ALLAH ta’ala uske Habeeb sallallahu alaihi wa sallam ke sadqe me Aur Aa’la Hazrat Imaame Ahle sunnat Ahmad Raza Khan rehmatullahi alaihi aur Tamam Auliya Allah ke waseele se Sab ko mukammal ishqe rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kamyabi ata farmae aur Sab ki nek jaiz murado ko puri farmae. Aameen.
Posted on: Sun, 04 Jan 2015 10:12:26 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015