Charammangal Upyogi Vichar ( 24 June 2014) Aksar hum sunate hai, - TopicsExpress



          

Charammangal Upyogi Vichar ( 24 June 2014) Aksar hum sunate hai, Aadmi ki pehchan uske juto (shoes) se hoti hai Kya yeh sach hai? Yadi haa, to aisa kyun? Ji !! Humne pehle bhi kaha he ki aapke feet ki cleanliness se aapki wealth and health (dhan aur swasthya ) dono connected hai. Agar wo saaf nahi he to dono hi effected honge. Astrology ke hisab se bhi shoes ka connection shani grah se mana gaya hai. Agar aapke shoes niche se tute hue he ya neeche se kate hue he, to unhe immediately change kar dijiye kyunki yeh bata raha hai ki life mein problem aane wali hai. Saturday ko shoes ka chori ho jaana shubh sanket hai kyuki woh shoe hamari kai samasyao ko lekar gaya hai. Ab janiye ki hamare shoes hamari personality ke baaren mein kya batate hai aur use kaise affect karte hai: đź‘ž1. Agar hum black leather ke shoes pehante hai to woh hume thoda vywasthit(managed) kaam karne wala banayega, kaam ke prati serious banayega, jis se kaam complete karke hi shanti milegi. . 2. Agar hum white sports shoes pehante hai to hum mast maula ho jayenge . Kaam ko masti se karenge, uski tension nahi lenge. Hua to thik, Nahi hua to thik, late hua to bhi thik . 3. Agar hum shoes ki bajay chappal pehante hai to yeh hamari zindagi mein limitation deta hai. Ya to humare soch ko limit karta hai ya phir humare resources ko. 4. Branded shoes show karte hai ki hum har kaam ko sabse ache tarike se karte he aur hume favourable circumstances milenge. 5. Shoes ki heal ka crack ho jana indicate karta hai ki hume roz ki basic life mein problems aayengi. 6. Agar shoes mein cut lag gaya hai to samajhiye ki humare raste mein kathinai aayegi. 7. High heals wali sandals pehanane wali ladies apne Shukra grah ko active karti hai, Jis se wo modern or fashionable ho jayengi. đź‘ž8. Office mein agar shoes allowed nahi hai to socks pehaniye ya phir office ke liye alag slippers rakhe. lekin per(feet) gande mat kariye, kyunki gande per (feet) dhan aur swasthya dono ko effect karte hai. 9. Shoes ki choice hamare kaam karne ke tarike ko effect karti he, Yehi karan hai ki office uniform ya phir formal dress mein sports shoes ki jagah leather shoes ko rakha gaya he. 10. Shoes gande hona indicate karta hai ki humara attitude life ke prati kaam chalau hai, aur jaisa hamara attitude hoga waisa hi hum kaam karenge. 11. Shoes utarte waqt use idhar-udhar mat fekiye, aaram se bethkar kholiye, kyunki koi jeev ho ya phir vastu, jin bhavo se hum use treat karenge woh usi ke anusar hume fayada ya nuksan degi. Jai ho!! Text by Jyotishacharya Shri Vinay Jain +917791816040
Posted on: Tue, 24 Jun 2014 07:02:20 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015